SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kyaa bataaun aaj vo mujh se judaa kyunkar huaa muddaton kaa aashnaa naa-aashnaa kyunkar huaa tere har naqsh-e-qadam par jis ne sajda kar diyaa teri nazron mein bhalaa vo bevafaa kyunkar huaa meri barbaadi mein jis kaa haath thaa vo fitna-gar puchhtaa hai ab mujhe ye haadisa kyunkar huaa jis ke haathon ne jalaayaa gulsitaan kaa gulsitaan is kaa ghar bhi jal gayaa to phir buraa kyunkar huaa aadmi to aadmi kaa thaa sharik-e-ranj-o-gham munqataa phir aaj-kal ye silsilaa kyunkar huaa jis ki rahmat chand logon ke liye makhsus ho hogaa kuchh logon kaa vo sab kaa khudaa kyunkar huaa jab tiri nazrein lagi hain kausar-o-tasnim par phir bataa shaikh-e-haram tu paarsaa kyunkar huaa daar par laTkaa diye jaate hain haq-go ai 'shafaq' haq ko haq kahne kaa tujh ko hauslaa kyunkar huaa"
Gopal Krishn ShafaqGopal Krishn Shafaq
Quote
"aate hi javaani ke li husn ne angDaai is samt giri bijli us samt qazaa aai jis samt se guzraa huun aavaaz yahi aai divaana hai divaana saudaai hai saudaai bhule hi se aa jaao mahki hui raatein hain barsaat kaa mausam hai Dasti hui tanhaai sachchaai ke divaane chaDhte hain salibon par sadiyon se zamaane mein ye rasm chali aai aalaam-o-masaaib kaa chaDhtaa huaa dariyaa hai ai josh-e-tavaanaai ai josh-e-tavaanaai ab kaun sune baatein bahke hue vaaiz ki chalte hain 'shafaq' ham to vo kaali ghaTaa aai"
Gopal Krishn ShafaqGopal Krishn Shafaq
Quote
"rah gai luT kar bahaar-e-zindagi zindagi hai sogvaar-e-zindagi meri nazron mein hasin dhokaa hai ik jis ko kahte hain bahaar-e-zindagi kulfatein kuchh talkhiyaan kuchh haadse ab yahi hai yaadgaar-e-zindagi miT rahaa ho jo kisi ke ishq mein phir kahaan us ko qaraar-e-zindagi tiri ulfat teraa gham teraa khayaal kuchh yahi hai kaarobaar-e-zindagi apnaa dil hi jab paraayaa ho gayaa kaun ho ab raaz-daar-e-zindagi tere dam se thi bahaaron mein bahaar ab kahaan hai vo bahaar-e-zindagi sukhe patton se ye kahti hai khizaan yuun utartaa hai khumaar-e-zindagi apne daaman se havaa dete raho bujh na jaae ye sharaar-e-zindagi ai 'shafaq' kis ne bigaaDaa hai ise kaun hai parvardigaar-e-zindagi"
Gopal Krishn ShafaqGopal Krishn Shafaq
Quote
"roz raushan rahein haalaat zaruri to nahin chaandni raat ho har raat zaruri to nahin barq gir jaae agar ghar bhi jalaa sakti hai us ke pahlu mein ho barsaat zaruri to nahin daaman-e-ishq mein rakhshaan hain hazaaron khushiyaan gham hi ho ishq ki saughaat zaruri to nahin mast aankhon se bhi ham pyaas bujhaa sakte hain bakhshish-e-mir-e-kharaabaat zaruri to nahin ham ko ronaa hai to ro leinge kahin bhi jaa kar husn ki bazm-e-tilismaat zaruri to nahin un ki yaadon se takhayyul ko sajaae rakhiye ho kabhi un se mulaaqaat zaruri to nahin din badalte hain to rishte bhi badal jaate hain umr bhar un ki inaayaat zaruri to nahin ai 'shafaq' aap hi kuchh surat-e-izhaar karein un ki jaanib se chale baat zaruri to nahin"
Gopal Krishn ShafaqGopal Krishn Shafaq
Quote
"har ghaDi bimaar ho kar rah gai zindagi bekaar ho kar rah gai vo mohabbat jo khushi ki ruuh thi chashma-e-aazaar ho kar rah gai zindagi ke is safar mein har ravish ik rah-e-dushvaar ho kar rah gai shama ban kar jal gai meri hayaat shoala-e-gulnaar ho kar rah gai likh rahe ye ishq ki ham daastaan dard kaa shahkaar ho kar rah gai kar sakun parvaaz ye himmat kahaan aarzu laachaar ho kar rah gai muflisi ki jhopDi ki kyaa kahein be-dar-o-divaar ho kar rah gai shaam-e-gham ki baat ab kyuun ho 'shafaq' har nafas talvaar ho kar rah gai"
Gopal Krishn ShafaqGopal Krishn Shafaq