SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"khushi se khel gae ham qazaa ke daaman par ki harf aane na paae vafaa ke daaman par hamaare khuun ke qatre giraa ke daaman par ik aur daagh lagaayaa vafaa ke daaman par ilaahi aisi ghaTaa mai-kade mein chhaa jaae ki tauba TuuTe miri paarsaa ke daaman par qudum-e-naaz kaa ehsaan pas-e-fanaa bhi rahaa uDaai khaak-e-lahad bhi havaa ke daaman par bhalaa miTaae se miTtaa bhi hai nishaan us kaa hazaar khaak vo Daalein vafaa ke daaman par na bach sakaa hai koi aur na bach sakegaa koi hai qabza maut kaa shaah-o-gadaa ke daaman par mire karim ne aisaa mujhe navaaz diyaa machal rahi hai ijaabat duaa ke daaman par tire karam ne banaayaa hamaari bigDi ko vagarna daagh the laakhon khataa ke daaman par 'shafia' jaama-e-hasti bhi taar-taar kiyaa junun ne haath ko apne baDhaa ke daaman par"
Haji Shafiullah Shafi BahraichiHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
Quote
"maah-e-kaamil ne munh ki khaai hai aankh jab aap se milaai hai un ki zulf-e-siyaah kyaa kahnaa ek kaali ghaTaa hai chhaai hai aa gae aap jab tasavvur mein zindagi zindagi ne paai hai jitnaa chaahein sataaein dil meraa in buton ki abhi khudaai hai khush-nasibi hai maut ki laa-raib un ke aaghosh mein jo aai hai jab bhi rakkhi binaa nasheman ki khaak karne ko barq aai hai un ke daaman pe ashk-e-gham mere azmat-e-be-panaah paai hai uTh gae sab hijaab nazron ke mujh ko saaqi ne vo pilaai hai koi batlaae in buton ne kahin rasm-e-ulfat kabhi nibhaai hai koi parvaana jal gayaa shaayad shama ki lau jo thar tharraai hai vo pilaa de ai pir-e-mai-khaana khaas kar chhan ke mai jo aai hai"
Haji Shafiullah Shafi BahraichiHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
Quote
"garm hai husn kaa baazaar khudaa khair kare aam hai sharbat-e-didaar khudaa khair kare dekhiye garmi-e-guftaar khudaa khair kare ho na jaae kahin takraar khudaa khair kare ab kahaan jaaein tire chaahne vaale aakhir charkh hai darpae-aazaar khudaa khair kare kal jo dam bharte the ai dost mohabbat kaa miri un ke honTon pe hai inkaar khudaa khair kare mujh se bargashta muqaddar hi nazar aataa hai bigDe bigDe se hain sarkaar khudaa khair kare chal ke puchhein to zaraa baazu-e-qaatil kaa haal le ke vo nikle hain talvaar khudaa khair kare haae ai josh-e-junun ab to ye haalat hai miri dekh kar kahte hain aghyaar khudaa khair kare chaunk uTThein na kahin qabr ke sone vaale aap ki shokhi-e-raftaar khudaa khair kare ghair ke jaur-o-sitam kaa karun kis se shikva apnon ke badle jab atvaar khudaa khair kare khaar hi khaar nazar aate hain gulshan mein 'shafia' suunaa suunaa saa hai gulzaar khudaa khair kare"
Haji Shafiullah Shafi BahraichiHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
Quote
"hai haram kis kaa kis ke but-khaane is ko samjhe hain kuchh to divaane zindagi kaa mazaa vo kyaa jaane gham diye hon na jis ko duniyaa ne chashm-e-makhmur hain vo paimaane jin pe qurbaan hazaar maikhaane hosh aae na tujh ko divaane pi mohabbat ke aise paimaane us ko dair-o-haram se kyaa matlab naqsh-e-paa ko jo un ke pahchaane phir taqaazaa hai vahshat-e-dil kaa kar garebaan ko chaak divaane rah gae khud ulajh ke aakhir-kaar raaz-e-hasti chale the suljhaane sar uThe phir na subh-e-mahshar tak sar jhukaa is tarah se farzaane dard-e-ulfat se jo nahin vaaqif mujh ko aae hain vo hi samjhaane kyaa mohabbat ke bhi karishme hain shama ik hai hazaar parvaane us ke jalve hain zarre zarre mein dekh dair-o-haram ke divaane ham bhi aae hain mai-kade mein 'shafia' apne ghamgin dil ko bahlaane"
Haji Shafiullah Shafi BahraichiHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
Quote
"rahne diyaa na chain se lail-o-nahaar ne maaraa gham-e-hayaat-o-gham-e-rozgaar ne ik kaif paa liyaa hai dil-e-be-qaraar ne phir gudgudaa diyaa hai nasim-e-bahaar ne jalvon ki taab laa na sakaa bazm-e-naaz mein khoyaa khud eatibaar dil-e-be-qaraar ne chheDe na koi meri mohabbat ki daastaan khaayaa hai taaza zakhm dil-e-daagh-daar ne duniyaa kaa gham kabhi gham-e-uqbaa kabhi rahaa paayaa na chain mere dil-e-be-qaraar ne daaman se un ke lipTi kabhi rukh se jaa lagi kyaa kyaa maze na luuTe hain musht-e-ghubaar ne uTThi kabhi naqaab to khil uTThi chaandni jalve bikher Daale hain rukhsaar-e-yaar ne miltaa jo umr bhar na mujhe vasl-e-yaar se vo kaif de diyaa hai tire intizaar ne duniyaa-e-ishq mein vahi saabit-qadam rahaa bakhshaa junun-e-ishq jise tere pyaar ne aataa nahin hai aaj bhi vo saamne 'shafia' bakhshaa jahaan ko to usi parda-daar ne"
Haji Shafiullah Shafi BahraichiHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
Quote
"butaan-e-dahr ki har har adaa rangin hoti hai hasin surat koi ho qaabil-e-tahsin hoti hai zamin-e-sher jab us ko ataa rangin hoti hai tabiat shaaer-e-fitrat ki kyon ghamgin hoti hai tabiat muztarib bechain aur ghamgin hoti hai magar ifaa-e-vaada par hi kuchh taskin hoti hai hamesha khuun hi hotaa rahaa jazbaat-e-ulfat kaa rifaaqat husn vaalon ki baDi sangin hoti hai ye maanaa mausam-e-gul hai magar daaman na phaaD apnaa are divaane is mein ishq ki tauhin hoti hai jagah dein laakh aankhon mein 'shafia' mai-khvaar-e-mai-khaana magar phir bhi janaab-e-shaikh ki tauhin hoti hai"
Haji Shafiullah Shafi BahraichiHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
Quote
"kamaal-e-ishq mein jazb-o-asar ki baat na kar unhin ki raah mein kho jaa khabar ki baat na kar tiri talaash mein manzil ki koi qaid nahin haram ki dair ki divaar-o-dar ki baat na kar kalim dekh chuke husn-e-yaar ke jalve ye un kaa bakht hai zauq-e-nazar ki baat na kar mahak mahak uThin galiyaan jo khul gae gesu riyaaz-e-hazrat-e-khairul-bashar ki baat na kar shuur usi kaa to arsh-e-barin ki zinat hai faqat rasaai-e-paa-e-bashar ki baat na kar tulua-e-maah-e-arab se hain do-jahaan raushan ziyaa-furozi-e-shams-o-qamar ki baat na kar chaman-badosh hai har zarra arz-e-taiba kaa bahaar-e-gulshan-e-gulhaa-e-tar ki baat na kar bahaar-e-mushaf-e-naatiq ke dekhne vaale iram ki dahr ki barg-o-shajar ki baat na kar hamaare ashk-e-nadaamat kaa koi mol kahaan ye nazr-e-naqd hai laal-o-gohar ki baat na kar jahaan mein chaar su phailaa huaa hai bughz-o-inaad andheri raat mein nur-e-sahar ki baat na kar 'shafia' ummid hai bakhshaaeinge vahi mujh ko ba-juz ataa-e-shah-e-bahr-o-bar ki baat na kar"
Haji Shafiullah Shafi BahraichiHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
Quote
"are tauba uzr-e-jafaa karun kabhi zarf aisaa miraa nahin vo miTaa dein chaahe abhi mujhe koi shikva gila nahin tu uThaa de parda to dekh luun kise hosh hai tujhe dekh kar abhi har nigaah hai muddai koi parda jabki uThaa nahin main samajh gayaa jo hai kaaba mein mujhe ittifaaq hai dair se main fareb-e-jalva na khaaungaa koi aur tere sivaa nahin mujhe zauq-e-uzr-e-sitam sahi magar us kaa itnaa malaal kyon jo gila bhi hai vo hai aap se kisi ghair se to gila nahin vo buri kaTe miri zindagi mujhe fikr us ki nahin 'shafia' vo bigaD ke meraa kareinge kyaa koi but ye mere khudaa nahin"
Haji Shafiullah Shafi BahraichiHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
Quote
"sar jhukaa de jis jagah par teraa divaana abhi but-kada bhi ho to ban jaae khudaa-khaana abhi dil mein baaqi hai agar jazb-e-kalimaana abhi dekhiyegaa har jagah par nur-e-jaanaana abhi vo nazar aate hain mujh ko be-hijaabaana abhi jazb-e-dil rahne de kuchh din aur divaana abhi maa-sivaa se be-khabar hai aur begaana abhi justuju mein teri sar-gardaan hai divaana abhi kyon na har lamha fuzun ho josh-e-rindaana abhi mil rahi hai un se paimaana-ba-paimaana abhi kah rahaa hai mast ho kar teraa mastaana abhi raqs mein saaghar hai gardish mein hai paimaana abhi ik kiran jalve ki tere ru-e-jaanaana abhi kar gai hosh-o-khirad se mujh ko begaana abhi hosh mein apne hai kuchh kuchh teraa divaana abhi ai nigaah-e-naaz koi aur paimaana abhi tere haathon se agar milte rahein jaam-o-subu har qadam par Daal dein buniyaad-e-mai-khaana abhi tere hi jalvon se hain maamur ye dair-o-haram kaaba dekhaa dekh aae jaa ke but-khaana abhi dil to pahle hi se un ko de chuke hain a 'shafia' ek baaqi rah gayaa hai sar kaa nazraana abhi"
Haji Shafiullah Shafi BahraichiHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
Quote
"mayassar agar dar tumhaaraa na hotaa to sajda adaa phir hamaaraa na hotaa miraa qalb-e-muztar na taskin paataa jo jalva tiraa aashkaaraa na hotaa chaman mein ye ranginiyaan bhi na hotin agar khuun shaamil hamaaraa na hotaa yaqinan vafaa ki miri qadr karte jafaa-ju agar dil tumhaaraa na hotaa bigaD jaataa hamdam mizaaj-e-zamaana jo zulfon ko tum ne sanvaaraa na hotaa bachaate jo khud ko nigaah-e-butaan se mohabbat mein dil paaraa paaraa na hotaa nihaan aatish-e-gham jo hoti na dil mein to aansu nikal kar sharaaraa na hotaa bharam TuuT jaataa vafaaon kaa meri agar zabt kaa dil ko yaaraa na hotaa nigaah-e-karam kaam aati na mere to mahshar mein koi hamaaraa na hotaa kabhi bhi na mansur kahte anal-haq jo shaamil tumhaaraa ishaara na hotaa ulajhnaa 'shafia' daam-e-zulf-e-butaan mein khudaa ko hamaare gavaaraa na hotaa"
Haji Shafiullah Shafi BahraichiHaji Shafiullah Shafi Bahraichi