Quote
"shahr mein ole paDe hain sar salaamat hai kahaan is qadar hai tez aandhi ghar salaamat hai kahaan raat ne aisi siyaahi ab bikheri chaar-su aankh vaalon ke liye manzar salaamat hai kahaan aap kahte hain chhupaa luun apni uryaani magar jism se lipTi hui chaadar salaamat hai kahaan qulqul-e-minaa se apni pyaas to bujhti nahin chuur sab shishe hue saaghar salaamat hai kahaan reza reza ho gai har shakhs ki paakizgi sang-saari ke liye patthar salaamat hai kahaan koi chehra asl surat mein rahe baaqi to kyuun but-shikan ke 'ahd mein aazar salaamat hai kahaan har taraf ik jang kaa maahaul hai 'aazam' yahaan aadmi ab ghar ke bhi andar salaamat hai kahaan"







