Quote
"jo chaahun bhi to ab khud ko badal saktaa nahin huun samundar huun kinaaron se nikal saktaa nahin huun main yakh-basta fazaaon mein asir-e-zindagi huun tiri saanson ki garmi se pighal saktaa nahin huun mire paanv ke niche jo zamin hai ghumti hai to yuun ai aasmaan main bhi sambhal saktaa nahin huun khud apne dushmanon ke saath samjhautaa hai mumkin main tere dushmanon ke saath chal saktaa nahin huun vo paudaa nafraton kaa hai jahaan chaahe ugaa lo mohabbat huun main har miTTi mein phal saktaa nahin huun unhein laDnaa paDegaa mujh se jab tak huun main zinda hisaar-e-dushmanaan se go nikal saktaa nahin huun khule hain raaste kitne mire raste mein 'azmi' magar main huun ki har saanche mein Dhal saktaa nahin huun"
I
Islam Uzma






