SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"gaanv se guzregaa aur miTTi ke ghar le jaaegaa ek din dariyaa sabhi divaar o dar le jaaegaa ghar ki tanhaai mein yuun mahsus hotaa hai mujhe jaise koi mujh ko mujh se chhin kar le jaaegaa kaun degaa us ko meri tah-nashini kaa pataa kaun mere Duub jaane ki khabar le jaaegaa aaine viraan-nigaahi kaa sabab ban jaaeinge khud-pasandi kaa junun taab-e-nazar le jaaegaa subh ke siine se phuTegi shuaa-e-mehr-e-nau sab andhere raat ke dast-e-sahar le jaaegaa jazba-e-johd-e-musalsal hai binaa-e-zindagi ye gayaa to saaraa jiine kaa hunar le jaaegaa"
Jamuna Parsad RahiJamuna Parsad Rahi
Quote
"bujhe bujhe se sharaare hain zard shaakhon par sajaa gayaa hai koi apnaa dard shaakhon par safir-e-shab kaa koi ashk DhunDte honge havaa ke jalte hue honT sard shaakhon par ayaan hai rang-e-taghazzul gulon ke chehron se bayaaz-e-rang nahin fard fard shaakhon par lapeTe nuur ki chaadar mein dard ke saae bhaTak rahaa hai koi shab-navard shaakhon par havaa ki god mein mauj-e-saraab bhi hogi gireinge phuul to Thahregi gard shaakhon par piye hue hain shajar intihaa-e-karb kaa sam ki hai numud-e-gul-e-laa-javard shaakhon par urus-e-bu-e-bahaaraan ne kyaa sharaarat ki ki hain safir-e-sabaa khud-nabard shaakhon par vo ik uDaan mein shohrat kaa aasmaan Thahraa simaT ke rah gae baaton ke mard shaakhon par"
Jamuna Parsad RahiJamuna Parsad Rahi
Quote
"jang mein parvar-digaar-e-shab kaa kyaa qissaa huaa lashkar-e-shab subh ki sarhad pe kyuun paspaa huaa ik ajab si pyaas maujon mein sadaa deti hui main samundar apni hi dahliz par bikhraa huaa kachchi divaarein sadaa-noshi mein kitni taaq thiin pattharon mein chikh kar dekhaa to andaazaa huaa kyaa sadaaon ko salib-e-khaamushi de di gai yaa junun ke khvaab ki taabir sannaaTaa huaa rafta rafta mausamon ke rang yuun bikhre ki bas hai mire andar koi zinda magar TuuTaa huaa sabz haathon ki lakirein zard maathe ki shikan aur kyaa detaa miri taqdir kaa likkhaa huaa"
Jamuna Parsad RahiJamuna Parsad Rahi
Quote
"tasvir kaa har rang nazar mein hai kyaa baat tire dast-e-hunar mein hai sonaa saa pighaltaa hai rag o pai mein khurshid-e-havas kaasa-e-sar mein hai niklaa huun to kyaa rakht-e-safar baandhun jo kuchh hai vo sab raahguzar mein hai ik raat hai phaili hui sadiyon par har lamha andheron ke asar mein hai paani hai saraabon se viraasat mein vo khaak jo daamaan-e-nazar mein hai peshaani-e-aaina pe ho zaahir jo zakhm dil-e-aaina-gar mein hai kyaa mahkein tamannaaon ke gul buuTe viraani-e-sahraa mire ghar mein hai"
Jamuna Parsad RahiJamuna Parsad Rahi
Quote
"kohsaar-e-taghaaful ko sadaa kaaT rahi hai hairaan huun ki patthar ko havaa kaaT rahi hai peshaani-e-saahil pe koi naam na ubhre har mauj samundar kaa likhaa kaaT rahi hai alfaaz ki dharti pe huun mafhum-gazida ab jism pe kaaghaz ki qabaa kaaT rahi hai har ruuh pas-e-parda-e-tartib-e-anaasir naa-karda gunaahon ki sazaa kaaT rahi hai fankaar kaa khuun daaman-e-takhliq pe goyaa tasvir musavvir kaa galaa kaaT rahi hai mahjub hain maghrur darakhton ki qataarein har shaakh ko shamshir-e-anaa kaaT rahi hai"
Jamuna Parsad RahiJamuna Parsad Rahi
Quote
"khun-girafta ho to khanjar kaa badan dukhtaa hai panja-e-khair mein hi shar kaa badan dukhtaa hai paikar-e-nim-shikasta huun karo tesha-zani baarish-e-gul se ye patthar kaa badan dukhtaa hai kaun hai tujh saa jo baanTe miri din bhar ki thakan muzmahil raat hai bistar kaa badan dukhtaa hai mustaqil shorish-e-tufaan se ragein TuTti hain zabt-e-paiham se samundar kaa badan dukhtaa hai zakhm-khurda dar o divaar ki haalat hai ajab sirf aahaT se mire ghar kaa badan dukhtaa hai qimat-e-jaan ki tavaqqo kaf-e-qaatil se kahaan khun-bahaa ye hai ki khanjar kaa badan dukhtaa hai dard maujon ki rifaaqat kaa baDaa hai shaayad qurb-e-saahil se shanaavar kaa badan dukhtaa hai"
Jamuna Parsad RahiJamuna Parsad Rahi
Quote
"dayaar-e-sang mein rah kar bhi shishagar thaa main zamaana chikh rahaa thaa ki be-khabar thaa main lagi thi aankh to maryam ki god kaa thaa gumaan khuli jab aankh to dekhaa salib par thaa main amaan kise thi mire saae mein jo ruktaa koi khud apni aag mein jaltaa huaa shajar thaa main tamaam umr na laDne kaa gham rahaa mujh ko ajab mahaaz pe haaraa huaa zafar thaa main havaa-e-vaqt ne patthar banaa diyaa varna lachakti shaakh se TuuTaa huaa samar thaa main tamaam shahr mein jangal ki aag ho jaise havaa ke dosh pe uDti hui khabar thaa main"
Jamuna Parsad RahiJamuna Parsad Rahi
Quote
"koi aazar ho to baaqi hai abhi kaam bahut be-khad-o-khaal hain kohsaar mein asnaam bahut un darakhton ke muqaddar mein bhi likh fasl-e-yaqin jin ki shaakhon pe hai shaadaabi-e-auhaam bahut zindagi taa-had-e-imkaan hai saraabon kaa safar phir bhi gunjaaish-e-imaan hai bahar-gaam bahut jin ki dahliz pe ugte hain anaa ke suraj un ki har subh pe bhaari hai miri shaam bahut thaa azal hi se hamein khauf-e-charaagh-e-khaana go ki mushkil na thi taa'mir-e-dar-o-baam bahut tum mire zikr se muhtaat rahoge kab tak kal ke akhbaar uchhaaleinge miraa naam bahut"
Jamuna Parsad RahiJamuna Parsad Rahi
Quote
"samand-e-khvaab vahaan chhoD kar ravaana huaa jahaan suraagh-e-safar koi naqsh-e-paa na huaa ajiib aag lagaa kar koi ravaana huaa mire makaan ko jalte hue zamaana huaa main thaa kahaan kaa musavvir ki pujti duniyaa bahut huaa to miraa ghar nigaar-khaana huaa ugaao dard ki faslein ki zindagi jaage lahu ki fasl ugaate hue zamaana huaa main aaina huun har ik saahib-e-nazar ke liye magar khud apne hi chehre se aashnaa na huaa bikhar gai thi sar-e-raah zindagi lekin qadam ruke to miraa farz taaziyaana huaa"
Jamuna Parsad RahiJamuna Parsad Rahi
Quote
"jaada-e-zist mein tanvir-e-sahar aane tak khvaab bunte raho taabir nazar aane tak lauT bhi aayaa to sadiyon ki thakan laaegaa subh kaa bhulaa huaa shaam ko ghar aane tak zindagi pyaas se maanus na ho jaae kahin vaqt ke dasht mein ik lamha-e-tar aane tak zulmatein chhin na lein ham se muqaddas chehre sham-e-maslub tire shola-ba-sar aane tak ham gunaahon ke pujaari bhi to ban sakte hain haasil-e-jazba-e-taqdis nazar aane tak subh ki dhuup dhundhalkon mein badal jaati hai shaakh-e-iflaas pe zartaab samar aane tak chashm-e-be-khvaab ki surat hai samundar mein sadaf abr-e-nisaan se koi shola-e-tar aane tak"
Jamuna Parsad RahiJamuna Parsad Rahi
Quote
"parinde lauT ke jab ghar ko jaane lagte hain hamein bhi yaad dar-o-baam aane lagte hain fasil-e-sarhad-e-maazi dhaDakne lagti hai jo khvaab niind kaa dar khaTkhaTaane lagte hain hubaab dhuup ki baarish mein phuTte bante sabaat-e-zaat kaa matlab bataane lagte hain sar-e-mahaaz tire aate hi harif mire ye mere haath mujhe aazmaane lagte hain tire khayaal ki mahfil jo sajne lagti hai qarib-e-haal guzishta zamaane lagte hain jo aasmaan ko zid hai to kam nahin ham bhi ki baad-e-barq nae ghar banaane lagte hain jo sunte hain ki tire shahr mein dashraa hai ham apne ghar mein divaali sajaane lagte hain suni-sunaai si har ik kahaani lagti hai nae hain lafz maaani puraane lagte hain"
Jamuna Parsad RahiJamuna Parsad Rahi