SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"husn ki tamhid par misraa uThaa tab kahin fan se mire pardaa uThaa kaash mujh par bhi paDe teri nazar is liye sau baar main baiThaa uThaa kaam na aai tiri dariyaa-dili dekh tere dar se main pyaasaa uThaa hijr mein kis ne mire Daalaa khalal shor ye kaisaa sar-e-sahraa uThaa maut ke imkaan hain is ishq mein gar uThaa paae to ye khatraa uThaa chhune ki quvvat tah-e-aadaab thi us ki jaanib haath larzida uThaa Daal de kashkol mein ummid kuchh ham faqiron ko na yuun bhukaa uThaa ham-nivaala dost hai na tu miraa le miri thaali se kuchh faaqa uThaa naa-umidi ishq kaa haasil miraa bazm se teri main nam-dida uThaa dost is duniyaa mein jiinaa hai agar iltijaaein chhoD kar fitna uThaa qatl karnaa hai mujhe to qatl kar soch mat paagal uThaa neza uThaa aap kahte hain ki zarra hai 'karan' arsh chhu legaa agar zarra uThaa"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"rangini-e-hayaat mein uljhaa diye gae ham asliyat ki raah se bhaTkaa diye gae patthar ke ho ke rah gae patthar-taraash log ham aaina-sifat jo the chaTkhaa diye gae apne hi dil ko 'ishq mein madfan banaa liyaa jitne hasin khvaab the dafnaa diye gae ham se musaafiron kaa safar raaegaan huaa ham manzilon ki had se hi lauTaa diye gae ab aur kis tarah se nibhaaeinge rabt ham us ne sitaare maang liye laa diye gae jaane kahaan chale gae tanhaa udaas log ham kis dayaar-e-ghair mein pahunchaa diye gae pahle to chaahaton mein hue 'umr-bhar zalil phir ek roz yuun huaa Thukraa diye gae ham ko zaraa si aane mein taakhir kyaa hui tauba tamaam raat vo taa’na diye gae ham ko 'karan' udaasiyaan tohfe mein di gaiin phir us ke baa'd saaghar-o-minaa diye gae"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"jaa rahe the log mujh ko chhoD kar jaane diye phir miri khalvat ne mujh ko umr-bhar taane diye luT gai apni mataa-e-jaan to andaaza huaa khud hamin ne haq unhein sab jaane anjaane diye khaad paani de sakein kab vaqt duniyaa ne diyaa al-gharaz gul khvaahishon ke ham ne murjhaane diye lutf miltaa thaa kabhi jab haath rakhti thi havaa zakhm sahlaati rahi vo ham ne sahlaane diye dil ganvaayaa niind khoi kho diyaa chain-o-qaraar ik khataa-e-ishq ki aur kitne jurmaane diye maut ki aaghosh mein hi niind aai pur-sukun ishq tu ne kab hamein baahon ke sirhaane diye vaah saaqi kyaa nibhaai rasm-e-ahl-e-mai-kada sab ko nazron ke hamein shishe ke paimaane diye gar main ro paDtaa to mere sabr ki tauhin thi zabt ne hargiz na mujh ko ashk chhalkaane diye muflisi mein bhi rahaa jazbon pe apne ikhtiyaar kab miri ghairat ne mujh ko haath phailaane diye karb tanhaai udaasi zakhm aansu iztiraab ai 'karan' ham ko mohabbat ne ye nazraane diye"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"zindagi ki talkhiyon par khaak Daali jaaegi is tarah se zindagi aasaan banaa li jaaegi surkh aankhein zard chehra sard aahein dil udaas ab kisi surat to ye surat sanbhaali jaaegi majlisi maanaa tabassum hai labon par in dinon is pe ummidon ki phir se niinv Daali jaaegi pairahan ye hasraton kaa ab rafu hogaa janaab har khushi jo ruuTh baiThi thi manaa li jaaegi zindagi ke isti’aare phir badal jaaeinge ab phir tamannaa khub-surat dil mein paali jaaegi dard-o-gham ki ab yahaan taasir ulTegi miyaan choT bhi dil ki hunar apnaa banaa li jaaegi chiir degi aasmaan tak kaa kaleja ek din mat samajhnaa aah-e-bekas hai to kHaali jaaegi ham badal Daaleinge likkhaa kaatib-e-taqdir kaa apni qismat apne haathon se sajaa li jaaegi qahqahe gunjeinge har pal ab fazaaon mein 'karan' dard ki ab roz-o-shab mayyat nikaali jaaegi"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"sukun jis ko samajh ke daaman mein rakh liyaa vo tamaam dukh hai jise mohabbat samajh rahe the huzur us kaa hi naam dukh hai qafas mein tanhaai ke alaava bhi ek shai hai jo mo'atabar hai main tajrabe se ye kah rahaa huun sahulaton kaa nizaam dukh hai adab karun ki lihaaz ahmaq nafas nafas par huaa hai qaabiz najaat mushkil hai ab to goyaa mire badan kaa imaam dukh hai sanbhaaltaa huun baDi muravvat se apne dil mein tumhaare tohfe miri taraf se tumhaare bakhshe alam kaa bas ehtiraam dukh hai kamaal hai ye ab unsiyat ke tamaam pahlu badal gae hain jo marhala thaa masarraton kaa ab ishq kaa vo maqaam dukh hai kise chuneingi ye faisla ham tiri nigaahon pe chhoDte hain tamaash-bin hai miri mohabbat fareb-e-ulfat ba-naam dukh hai tumhaare hisse ke din sunahre tumhaare hisse ki raat punam hamaare hisse udaas subhein hamaare hisse ki shaam dukh hai hazaar aansu udaasiyaan gham ye dard mazmun-e-shaaeri hain suno kabhi ghaur se to jaano 'karan' kaa har ik kalaam dukh hai"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"yaqin kar ki tiraa gham-shanaas rahnaa hai isi binaa pe hamein ab udaas rahnaa hai khudaa kare ki tujhe sirf mujh se kaam paDe kisi sabab bhi tire aas-paas rahnaa hai zaraa bhi hosh mein aae to jaan kho deinge so ham ko der talak bad-havaas rahnaa hai tire divaanon ko haq hai ki raqs-farmaa hon kahaan hai sabt unhein mahv-e-yaas rahnaa hai gae baras mein dikhaave kaa Dhab bhi siikh liyaa hamein bhi ab ke baras khush-libaas rahnaa hai tiri navaazish-e-paiham kaa shukriya lekin main naa-sipaas mujhe naa-sipaas rahnaa hai use bhi kho diyaa main ne to phir samajh aayaa tamaam 'umr mujhe be-asaas rahnaa hai jo ahmiyat hai 'karan' khushbuon ki phulon mein bas us tarah hi mujhe un kaa khaas rahnaa hai"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"koh-e-giraan se kam nahin ye pairahan utaar main kah rahaa huun ruuh se ab to badan utaar tujh par zamin jitne ki dhun savaar hai so tujh pe laazmi hai ki pahle gagan utaar ye kaarobaar-e-zist to chaltaa rahegaa dost aa mai-kade mein chal zaraa thoDi thakan utaar kab se huun teri diid ki hasrat mein reg-zaar sahraa mein ab ki baar tu koi chaman utaar avval hai shart 'ishq mein khud ko nisaar kar tu paar chaahtaa hai to phir jaan-o-tan utaar kuchh is tarah se toD ki patthar na rah sakun tesha mire vujud pe ai kohkan utaar kuchh to dikhe 'karan' koi shaa'ir kahe tujhe thoDaa bahut to lahje mein tarz-e-sukhan utaar"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"'ain mashhur hai teraa ye chalan raah-guzar har musaafir ko mili tujh se thakan raah-guzar saaebaan sar pe shajar koi na saayaa koi aur phir us pe ye suraj ki tapan raah-guzar ab karam koi to farmaa ki sukun aa jaae kaise kam ho mire talvon ki jalan raah-guzar aap rahbar huun miraa qaafila-saalaar bhi main baDhte jaate hain mire paanv magan raahguzar chalte chalte main bahut duur nikal aayaa huun jaane kis or hai ye baagh-e-‘adan raah-guzar kah zaraa baad-e-sabaa se ki uDaa le jaae le ke baiThaa huun main miTTi kaa badan raah-guzar dil ko dhaDkaa saa lagaa hai na kahin bhar jaae ab to ristaa bhi nahin zakhm-e-kuhan raah-guzar ham yuun nikle the ki juun sair-e-chaman ko nikle su-e-maqtal jo chale sar-ba-kafan raahguzar gaamzan aise safar par thaa 'karan' bil-aakhir us ki manzil thi faqat daar-o-rasan raah-guzar"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"ashk mein Dubti phir 'arz-e-tamannaa dekhun raat bhar khvaab mein ik khvaab sisaktaa dekhun koi paighaam na hi khat na koi khair khabar koi ummid nazar aae to rastaa dekhun us ko takte hue main us mein hi tabdil huaa koi batlaae use aur main kitnaa dekhun jab bhi dekhaa hai faqat daagh nazar aae mujhe kitni hasrat thi tiraa chaand saa chehra dekhun kyaa milaa jal ke tujhe 'ishq mein ai dil mere is se behtar thaa tujhe taaq pe jaltaa dekhun bhuuk mahngaai gharibi ye muqaddar ke sitam ab savaal aakhirash in aankhon se kyaa kyaa dekhun ek zarre ko kahaan chaand ki aaghosh nasib meri auqaat kahaan aap kaa sapnaa dekhun ji mein aataa hai 'karan' marne se pahle main kabhi khud ko ik baar bas ik baar to zinda dekhun"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"gham ki honTon pe daastaan bhi rakh dil jo rakhtaa hai to zabaan bhi rakh sabr kaa ajr mil hi jaaegaa 'ishq gar hai to itminaan bhi rakh ai khudaa kis ne ye kahaa tujh se zindagaani mein imtihaan bhi rakh tu hamein chhoD de bajaa lekin apne 'ahd-e-vafaa kaa dhyaan bhi rakh khuub mehnat zamini sath pe kar aur tasavvur mein aasmaan bhi rakh 'izzat-e-nafs par na ban aae khaandaani hai aan-baan bhi rakh kyaa chhupaane se faaeda aakhir baat kuchh hai to darmiyaan bhi rakh ye tujhe haisiyat bataaegaa apne kamre mein khaak-daan bhi rakh shauq se chhu bulandiyaan lekin zer-e-paa apne paaedaan bhi rakh ai 'karan' bandagi to Thiik hai par dil mein kuchh fikr-e-bandagaan bhi rakh"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"main jaantaa thaa ki vo be-shu'ur kar degaa mujhe taraashne baiThegaa chuur kar degaa tumhein raqib se raghbat hai par yaqin jaano huzur-e-man vo hamein duur duur kar degaa use kaho miri turbat pe faatiha paDh de vo kuchh kare na kare ye zarur kar degaa ye nam nigaahein tiri rusvaa tujh ko kar deingi hamein zalil dil-e-naa-sabur kar degaa use hi chaahnaa us ko hi chaahte rahnaa hamein yaqin thaa dil ye qusur kar degaa tujhe khayaal kahaan hai khudaa ki 'azmat kaa palak jhapakte vo zarre ko tuur kar degaa umiid us se lagaa jis se lau lagaai hai siyaah-bakht ko vo maah-e-nur kar degaa 'karan' ghafur hai bar-haq vo khaaliq-e-kaunain gunah mu'aaf vo tere zarur kar degaa"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"na chheD tazkire hargiz gham-e-nihaani par vo shakhs ro na paDe gham ki tarjumaani par na varghalaaiye saahab hamein mohabbat se hamein yaqin na gumaan 'ishq ki kahaani par sitam uThaayaa kiye aur sukhan-shanaas hue ye tajraba bhi kiyaa apni be-zabaani par ye shahr jhuuT kaa haami hai haq-parasto yahaan zabaanein kaaT di jaati hain haq-bayaani par muhaal hai ki tire dar se uTh ke jaa paaun ye jaan sadqe magar aisi naa-tavaani par sila yahi hai vafaaon kaa jaantaa huun main so gham-zada main nahin apni raaegaani par jinhein shu'ur nahin kuchh bhi she’r-goi kaa vo tanz kas rahe hain meri she’r-khvaani par bajaae khushbu ke vahshat bikherti hai 'karan' tilism phunk diyaa kis ne raat-raani par"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"ghar se daftar aur phir daftar se ghar kaafi hai kyaa zindagi tu hi bataa itnaa safar kaafi hai kyaa kaun samjhegaa miri tanhaaiyon ke masale hai zamaana yuun to mere saath par kaafi hai kyaa aaj-kal mere taaaqub mein hain aankhein yaar ki ibtidaai ishq mein itnaa asar kaafi hai kyaa jal ke marnaa chaahiye thaa garmi-e-ikhlaas mein haif divaana huaa khasta-jigar kaafi hai kyaa husn tujh mein aur thoDi dilkashi darkaar hai aatishin-abru qayaamat si nazar kaafi hai kyaa ishq mere aur tujh ko kyaa vazifa chaahiye dekh aakhir ho gayaa main dar-ba-dar kaafi hai kyaa phir anaasir ne badal li surat-e-tartib aur aalam-e-hasti huaa zer-o-zabar kaafi hai kyaa be-dili se aae the ham bhi kabhi sahraaon mein dil to yaan lagne lagaa apnaa magar kaafi hai kyaa haan kabhi jhuktaa na thaa khalq-e-khudaa ke saamne tere sajdon mein jhukaa jaataa hai sar kaafi hai kyaa kyaa karun aisaa ki apne dil mein vo rakh le mujhe sun 'karan' ye sher-goi kaa hunar kaafi hai kyaa"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan
Quote
"dar-ba-dar kucha-ba-kucha kaaT li zindagi lamha-ba-lamha kaaT li us ne mujh se haal yuun puchhaa miraa kaT gai yaa rafta-rafta kaaT li subh aai uTh ke daftar chal paDe raat be-shak zer-e-girya kaaT li kaash apnaa ham-safar hotaa koi har masaafat ham ne tanhaa kaaT li ham ne us ko bevafaa hone diyaa aap shah-rag be-iraada kaaT li bach gae farzaangi ki maar se ab ke vahshat baa-saliqa kaaT li mausamon kaa farq ham par khaak ho sard rut jab sar-barahna kaaT li tohmatein khaamoshiyon se kiin qubul phir sazaa bhi sar-khamida kaaT li"
Kamal Kataria KaranKamal Kataria Karan