Quote
"kyaa zamaane se tavaqqo rakhein achchhaai ki ye to duniyaa hai na apnon ki na harjaai ki jab se duniyaa ne mashinon se shanaasaai ki sab ki aankhon mein thakan dekhi hai tanhaai ki ik paDaav hai ghaDi-do-ghaDi dam lene ko vo giraftaar huaa jis ne shanaasaai ki mansab-o-jubba-o-dastaar pe mauquf nahin shakhsiyat asl to hai qaamat-e-zebaai ki vo to khushbu thi bikharnaa thaa muqaddar us kaa ye nasib us kaa jo gulshan ne paziraai ki jo sar-e-bazm kahaa daar pe dohraayaa vahi meri guftaar mein jurat rahi sachchaai ki ghaav bharne the jinhein le ke vo nashtar aae kis masihaa se rakhein aas masihaai ki ab kahaan sarmad-o-mansur se aashufta-mizaaj rasm farzaanon ne Daali hai shakebaai ki dekhne se kahaan khultaa hai samundar kaa mizaaj Duub kar baat khulaa karti hai gahraai ki jaantaa huun ki 'karaamat' hai mire mansab ki jo harifon ne sar-e-bazm paziraai ki"
K
Karamat Ghauri






