SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKashif Akhtar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tumhaare bin guzaaraa ho rahaa hai khasaare par khasaara ho rahaa hai bahut sochaa bachaa luun khud ko lekin udhar se phir ishaara ho rahaa hai shujaaat to shahaadat maangti hai par ab is se kinaaraa ho rahaa hai mujhe phir ishq ne aavaaz di hai mujhe to ye dobaara ho rahaa hai adu ke saath us ko dekhtaa huun qayaamat kaa nazaara ho rahaa hai zaraa si tu ne kyaa ulfat dikhaai tiraa har gham gavaaraa ho rahaa hai makin tum jab se is dil mein hui ho har ik shai se kinaaraa ho rahaa hai ye teraa lams thaa jis ki vajah se ye meraa dil sharaara ho rahaa hai tujhe aavaaz de kar thak chukaa huun isi khaatir gharaara ho rahaa hai"
Kashif AkhtarKashif Akhtar
Quote
"jin ke charche shahr bhar mein paak-daamaani mein hain mai-kade mein dekh un ko ham to hairaani mein hain is taraf hai mai-kada aur us taraf hai ghar tiraa kis taraf jaaein abhi tak is pareshaani mein hain ek lamha vasl kaa ham ko milaa jaane diyaa khvaahishein ab tak hamaari is pashemaani mein hain muttahid honaa paDegaa paar utarne ke liye kab samajh mein aaegaa ham log tughyaani mein hain ye meraa hujra sukun-e-qalb ye sajde miyaan raahatein kab ye mayassar qasr-e-sultaani mein hain"
Kashif AkhtarKashif Akhtar
Quote
"miraa vajud vahi hai tiri kahaani mein ki jaise machhliyaan palti hain yaar paani mein labon ki chaashni hai aaj tak vahi ki vahi tumhaaraa naam liyaa thaa kabhi ravaani mein bichhaD ke us se kisi aur se milaa thaa main badal ke shakl vo aaya thaa zindagaani mein main us ke jism ki khushbu ko DhunDhtaa hi rahaa na vo gulaab mein paai na raat raani mein kisi ko andhe kuein mein amaan bakhshi hai kisi ki jaan bachaai hai bahte paani mein sukhan ki baarishein hoti hain aaj tak 'kaashif' kisi kaa sher sunaa thaa kabhi javaani mein"
Kashif AkhtarKashif Akhtar
Quote
"aaj be-parda nazar aane mein kyaa rakkhaa hai ye shab-e-vasl hai sharmaane mein kyaa rakkhaa hai ye tiri nargisi aankhon ki kashish hai shaayad varna saaqi tire paimaane mein kyaa rakkhaa hai saaz-e-ulfat pe vafaaon kaa taraana chheDo zulm aur jaur ke afsaane mein kyaa rakkhaa hai ek hain us ki nigaahon mein adu ho ki raqib dil to phir dil hai dil aa jaane mein kyaa rakkhaa hai un kaa qaasid hai ba-zid saath mein chaliye 'kaashif' kal bhi aanaa hai to ab aane mein kyaa rakkhaa hai"
Kashif AkhtarKashif Akhtar
Quote
"log koshish mein hain meraa qad ghaTaane ke liye par khudaa raazi hai meraa qad baDhaane ke liye bevafaa ki daastaan mujh ko sunaane ke liye log aa jaate hain meraa gham baDhaane ke liye tum hamaare saamne zikr-e-nabi karte raho itnaa bas kaafi hai dil ko chain paane ke liye itni tang-dasti hai ab bhi is qadar mehnat ke baad kis qadar dushvaariyaan hain ghar chalaane ke liye gham tiraa aavaaz detaa hai bataa main kyaa karun main gayaa thaa lauT kar vaapas na aane ke liye habs-e-dil baDhne lagaa to khul ke phir ham ro diye ye saliqa thaa hamaaraa gham bhulaane ke liye sab tahaaif main ne tere kar diye vaapas magar haath mein ek chain rakkhi hai ghumaane ke liye"
Kashif AkhtarKashif Akhtar
Quote
"tumhaare saath jo lamhaat the guzaare hue tumhaare baad vahi ziist ke sahaare hue zabaan pe zang jo dekhaa to ye samajh aaya zamaane ho gae jaise use pukaare hue hamaare baad hamein DhunDte phireinge log hamaare baad kaheinge baDe khasaare hue akhir shaam thi jab donon paas baiThe the ajiib shakl thi donon ki jaise haare hue qadam qadam pe mileinge tumhein lahu ke nishaan hamaare ishq ke ye bhi to istiaare hue main apni zaat ki taarikiyon mein jab gum thaa tab us ki yaad ke raushan sabhi sitaare hue"
Kashif AkhtarKashif Akhtar
Quote
"mujhe rahin-e-gham-o-hijr-o-yaas rahne do tamaam tohfe mire dil ke paas rahne do na mere dil se haTaao ridaa-e-jaanaan ko ki mere dil ko zaraa baa-libaas rahne do farogh-e-dard-e-mohabbat ke vaaste hamdam mire raqib ko mere hi paas rahne do agarche hijr hi chaaho qubul hai lekin tum apne lahje mein thoDi miThaas rahne do tum apne husn kaa sarmaaya chhin lo mujh se mataaa-e-ishq-o-vafaa mere paas rahne do likhein hain jis pe fasaane kitaab tum rakh lo vafaa-shiaar qalam mere paas rahne do"
Kashif AkhtarKashif Akhtar