Quote
"main shakl dekh ke kaise kahun ki kyaa hogaa hasin shakhs hai mumkin hai bevafaa hogaa tumhein khayaal bhi aayaa safar pe jaate hue tumhaare baad hamaaraa yahaan pe kyaa hogaa main jhuuT bol ke aayaa thaa vaapsi kaa jise vo shakhs ab bhi miri raah dekhtaa hogaa ye dosti na kahin pyaar mein badal jaae ab apne darmiyaan thoDaa saa faasla hogaa ye raaz mujh pe khulaa ab ki meraa koi nahin main sochtaa thaa mire saath bhi khudaa hogaa ye shaairi kaa to khud shauq thaa use 'jaanbaaz' haan shaairon se koi masala rahaa hogaa"







