SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kaisi hai ajab raat ye kaisaa hai ajab shor sahraa hi nahin ghar bhi machaataa hai ajab shor ik dard ki aandhi mujhe rakhti hai hiraasaan ik aas kaa jhonkaa bhi uDaataa hai ajab shor raushan hai kisi aankh mein taariki-e-ahvaal ik taaq-e-tamannaa mein dahaktaa hai ajab shor ik shakhs mire aaina-e-dil ke muqaabil khaamosh hai lekin pas-e-chehra hai ajab shor aati hai bahut duur se paazeb ki aavaaz phir meri samaaat mein chahaktaa hai ajab shor main zabt ko har rukh se sipar kartaa huun lekin aankhon se miri jhaanktaa rahtaa hai ajab shor shaayad tiraa hissa hai kinaare ki khamoshi maalum tujhe kyaa tah-e-dariyaa hai ajab shor"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"mohabbat ek jaisi hai vafaaein ek jaisi hain yahaan mausam badalne par havaaein ek jaisi hain 'ajab shahr-e-sukhan aabaad hai meri samaa'at mein 'ajab shahr-e-khamoshaan hai sadaaein ek jaisi hain tiri aankhon mein aavaazein mire honTon pe sannaaTaa safar ki daastaanein kyaa sunaaein ek jaisi hain sunaa hai us taraf bhi shaam ko lahja mahaktaa hai khafaa aapas mein hain lekin du'aaein ek jaisi hain 'razi' donon ko aksar khauf-e-tanhaai sataataa hai 'razi' donon ki qismat mein sazaaein ek jaisi hain"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"rasta bhi tiri samt thaa ghar teri taraf thaa ab jaa ke khulaa meraa safar teri taraf thaa aangan thaa miraa aur na dar-o-baam the mere main dhuup mein thaa saaya-e-dar teri taraf thaa mahfil tujhe bas chhoD ke jaane ke liye thi ik main hi faqat khaak-basar teri taraf thaa ujlat mein na kar tark-e-taalluq ki shikaayat dil teri taraf yaad to kar teri taraf thaa aaine mein aur aab-e-ravaan mein thaa tiraa aks shaayad ki miraa dida-e-tar teri taraf thaa tu mausam-e-gul mein bhi gurezaan rahaa mujh se main shaakh-e-burida thaa magar teri taraf thaa main tere havaale se rahaa shahr mein maatub jo meraa hunar thaa vo hunar teri taraf thaa"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"sar-nigun dil ki tarah dast-e-duaa ho bhi chuke silsile jin ke judaa the vo judaa ho bhi chuke dasht mein aayaa nahin naaqa-e-mahmil-bar-dosh naqsh kuchh surat-e-naqsh-e-kaf-e-paa ho bhi chuke nakhl-e-ummid rahaa phir bhi numu se mahrum jab ki mausam kai aaghosh-kushaa ho bhi chuke ek be-naam si hasrat hai badan mein baaqi jis qadar qarz the shab ke vo adaa ho bhi chuke khvaahish-e-uqda-kushaai pe nadaamat kaisi rasm-e-naakhun se khafaa band-e-qabaa ho bhi chuke ab to bas ek tasalsul hai taalluq kaa daraaz imtihaan ho bhi chukaa vaade vafaa ho bhi chuke kab tak ai baad-e-sabaa tujh se tavaqqoa rakkhun dil tamannaa kaa shajar hai to haraa ho bhi chuke main to ik guunj mein zinda huun sar-e-bazm 'razi' jin ko honaa thaa yahaan naghma-saraa ho bhi chuke"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"vaqt ajiib aa gayaa mansab-o-jaah ke liye saahib-e-dil bhi chal paDe takht-o-kulaah ke liye mire ghanim-e-surkh-ru arsa-e-sad-shikast mein koi naved-e-sar-khushi meri sipaah ke liye us kaa hadaf bhi dekhnaa meri taraf bhi dekhnaa qatl-e-anaa ki shart hai is se nibaah ke liye mausam-e-gul ko kyaa khabar shorish-e-abr-o-baad mein taair-e-dil udaas hai shaakh-e-panaah ke liye ek navaa-e-aatishin halqa-ba-halqa jism mein phir hui hai taaza-dam taaza gunaah ke liye kahtaa thaa koi shama-rukh dekh mire charaagh-e-shab koi kiran bachaa ke rakh roz-e-siyaah ke liye ik shab-e-maah ke liye dil hai lahu lahu 'razi' aankh sitaara-kesh hai ik shab-e-maah ke liye"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"jo mo'tarif the mire shajra-e-nasab ke sab vo log ho gae rukhsat yahaan se kab ke sab fazaa-e-nisbat-o-qurbat hai gard gard magar samajh rahe hain mire dil kaa haal sab ke sab vo log jin ki himaayat mein khud se laDtaa rahaa vo log ho gae mere khilaaf ab ke sab ravish mein auron ke aslaaf ki ravish na rahi so qisse likkhe gae mere hi nasab ke sab main dusron ki talab mein bahaal hotaa rahaa ghulaam hote rahe apni hi talab ke sab vo harf jis se uThaa hai miri navaa kaa khamir hain muntazir usi ik harf-e-zer-e-lab ke sab use khabar thi ki main ek shab kaa mehmaan huun sau band vaa kiye us ne qabaa-e-shab ke sab kisi rihaai kaa ahvaal jaanne ke liye sirhaane baiThe hain khaamosh jaan-ba-lab ke sab charaagh aur qalam aankh aur hairaani ye istiaare hain goyaa miri talab ke sab ye ranjishein hain 'razi' aur hi taalluq se ye silsile hain kisi aur hi tarab ke sab"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"charaagh-e-bazm tiri mansabi hai kitni der sharar-nazhaad hai to zindagi hai kitni der havaa-e-dahr bhi Thahri hai fursaton ki harif tire khayaal ki mohlat mili hai kitni der harim-e-naaz se nikli to tere jism ki baat zabaan-e-khalq-e-khudaa par rahi hai kitni der ujaaD deinge ye mausam ke garm-o-sard tujhe misaal-e-sarv ye khush-qaamati hai kitni der savaad-e-jaan mein miri jaan sabaat kis ko hai ye teraa qurb tiri dosti hai kitni der jhulas gayaa hai badan hijr ki tamaazat se tujhe khabar bhi nahin ho chuki hai kitni der vo puchhtaa hai shab-o-roz mujh se qurbat mein ki qurbaton kaa ye lamha 'razi' hai kitni der"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"aisaa kar sakte the kyaa koi gumaan tum aur main aise tanhaa nazar aaeinge yahaan tum aur main bazm aaraasta hogi to numaayaan honge kisi tanhaai mein shaayad hain nihaan tum aur main rahguzar khatm hui jaati hai aage jaa kar chhoD aae hain kahaan apnaa nishaan tum aur main jhilmilaati hai kahin par kisi imkaan ki lau usi imkaan ki jaanib nigaraan tum aur main be-hisi shart hi Thahri thi rifaaqat mein agar kis liye karte rahe jaan kaa ziyaan tum aur mein ek inkaar ki khvaahish ko chhupaae dil mein gird-e-iqraar mein baiThe hain miyaan tum aur main ab thakan jism mein utri hai to aataa hai khayaal kin havaaon mein rahe raqs-kunaan tum aur main main ne puchhaa ki koi dil-zadagaan ki hai misaal kis tavaqquf se kahaa us ne ki haan tum aur main kis ki aavaaz taaaqub mein chali aai 'razi' is se pahle bhi to aae the yahaan tum aur main"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"puraani shaam nae aanganon ko roti hai kahin charaagh kahin rat-jagon ko roti hai kahin ye haal ki hai faasla javaaz-e-safar kahin ye haal thakan faaslon ko roti hai ye shaakh-e-dil thi hare mausamon ki dil-daada so dasht-e-hijr mein taaza ruton ko roti hai vo aankh jis ne kabhi hairatein ataa ki thiin vo aankh aaj miri vahshaton ko roti hai ye kaisaa tark-e-sukunat kaa e'tibaar uThaa safar mein ruh-e-safar hijraton ko roti hai guzishta umr se mansub ik shanaasaai pas-e-hajuz khaDi fursaton ko roti hai miraa khamir ye kis khaal hai uThaa hai 'razi' ki meri khaak ajab maskanon ko roti hai"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"aakhir sukhan tamaam kiyaa is duaa ke saath rahnaa gulon ke beach mahaknaa havaa ke saath ik be-kanaar hijr miri ruuh mein muqim ik be-panaah khauf miri iltijaa ke saath ik be-yaqin raat miri raat ki sharik ik be-dayaar shaam dil-e-naa-rasaa ke saath ik barg-e-khushk shaakh se girne kaa muntazir aur meraa jism kaanp rahaa hai havaa ke saath sahraa mein khinchti hai mujhe khvaahish-e-qaraar sahraa ko khinchtaa huun main zanjir-e-paa ke saath aankhon mein meri rang ke dariyaa utaar kar chehre ko us ne pher liyaa kis adaa ke saath dil ki girah-kushaai faqat shart hai 'razi' khul jaaegaa vo jism to band-e-qabaa ke saath"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"dikhaa kar aaine mein apnaa chehra kho gae hain ye duniyaa bhi tamaashaa thi tamaashaa ho gae hain musaafir hain safar mein bud-o-baash apni yahi hai jahaan par koi saaya mil gayaa hai so gae hain ba-zaahir ek sahraa hain magar aisaa nahin hai hamaari khaak ko kitne hi dariyaa ro gae hain vo mausam aur manzar jin se ham tum khush-nazar the vo mausam aur manzar darmiyaan se kho gae hain qadam aahista rakkho kah rahe hain khushk patte darakhton par thake-haare parinde so gae hain nahin ehsaas tum ko raaegaani kaa hamaari suhulat se tumhein shaayad mayassar ho gae hain rifaaqat mein ye kaisaa saaneha guzraa hai ham par badan bedaar hain lekin muqaddar so gae hain kabhi sairaab jo lamhe kiye the khun-e-dil se vahi lamhe 'razi' aankhon mein kaanTe bo gae hain"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"kabhi makaan mein kabhi rahguzar mein rahte the ye roz-o-shab to hamesha nazar mein rahte the havaa ki raah mein uDti thi zindagi apni misaal-e-mauj kabhi ham bhanvar mein rahte the mohabbaton mein bahut dil dhaDaktaa rahtaa thaa ajiib log dil-e-mo'tabar mein rahte the hamein bhi shauq thaa kuchh titliyaan pakaDne kaa tamaam rang magar chashm-e-tar mein rahte the khizaan se pahle yahaan kaa ajiib mausam thaa samar ki tarah parinde shajar mein rahte the gurez-paai kaa shikva karein to kis se karein safar mein rah ke bhi ham log ghar mein rahte the havaa ke saath zamaana badal gayaa hai 'razi' hamin the vo jo kabhi is nazar mein rahte the"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar
Quote
"guzri jo rahguzar mein use darguzar kiyaa aur phir ye tazkira kabhi jaa kar na ghar kiyaa chashm-e-saliqa-saaz to khaamosh hi rahi rukhsat pe teri dil ne bahut shor-o-shar kiyaa aazurdagaan-e-hijr ki vahshat ajiib hai nikle na ghar se aur na aabaad ghar kiyaa be-barg-o-baar jism thaa mahrum-e-e'tibaar sar-gami-e-sabaa ne shajar ko shajar kiyaa apne sivaa kisi ko ye dil maantaa na thaa is dil ko ustuvaar tiri aankh par kiyaa ye ishq marhala to safar-dar-safar kaa hai ab dekhnaa hai kis ne kahaan tak safar kiyaa aise kushaada-dast kahaan ke the ham 'razi' shaayad lihaaz-e-zahmat-e-daryuza-gar kiyaa"
Khwaja Razi HaidarKhwaja Razi Haidar