SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMahmood Rampuri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"nek-o-bad ishq mein jo hai miri taqdir mein hai aap vo kijiye jo aap ki tadbir mein hai vasl kahte hain ise rabt ise kahte hain dekh lo tiir jigar mein hai jigar tiir mein hai shor-e-mahshar ki to ik dhuum machaa rakkhi hai shor ye hai jo mire baalon ki zanjir mein hai khul gayaa aaj mujhe vaada-faraamoshi se ki tiraa vasl kisi aur ki taqdir mein hai vo miraa haal jo puchhein to ye kahnaa qaasid abhi jiitaa hai magar marne ki tadbir mein hai koi kuchh jurm kare naam vo meraa leinge ik zamaane ki buraai miri taqdir mein hai vasf kuchh us kaa bayaan ho nahin saktaa 'mahmud' lutf jo daagh ki taqrir mein tahrir mein hai"
M
Mahmood Rampuri
Quote
"maanaa ki sakht hoti hai tir-o-tabar ki choT lekin buri balaa hai kisi ki nazar ki choT tegh-e-adaa kaa vaar hai tir-e-nazar ki choT dil ki bachaaun zarb ki rokun jigar ki choT baDh kar hai zakhm-e-tegh se bhi zakhm baat kaa ye chaar din ki choT hai vo umr bhar ki choT siine se vo mile to nazar se nazar mili dil kaa bharaa jo zakhm to ubhri jigar ki choT ehsaan kaa baar saahib-e-himmat ki maut hai meri duaa qubul kare kyon asar ki choT dard intihaa kaa dil mein hai 'mahmud' aaj tak khaai thi ibtidaa mein kisi ki nazar ki choT"
M
Mahmood Rampuri
Quote
"khudaa ki shaan hai in mein agar mehr-o-vafaa hoti to phir ye but jidhar hote udhar khalq-e-khudaa hoti jafaa vo tark karte gar unhein qadr-e-vafaa hoti nazar nichi to jab hoti ki aankhon mein hayaa hoti hazaaron gaaliyaan vo de rahe the be-khataa mujh ko jo puchhaa baat kyaa hai jal ke bole baat kyaa hoti tiraa vaada hamaari aarzu bekaar hain donon jo ye hotaa to kyaa hotaa jo vo hoti to kyaa hoti khudaa ne khair kar li hote hote rah gai hujjat miri un ki agar hoti to phir be-intihaa hoti adu kaa zikr khud chheDaa hai khud hi mujh se bigDe hain ghazab hotaa agar meri taraf se ibtidaa hoti na letaa naam bhi 'mahmud' un kaafir buton kaa tu samajh gar tujh mein thoDi bhi are mard-e-khudaa hoti"
M
Mahmood Rampuri
Quote
"jahaan na dost na gulchin na baaghbaan meraa phir is chaman mein rahe kyunkar aashiyaan meraa sharik-e-haal bure vaqt mein ye hotaa hai sivaae gham ke nahin koi mehrbaan meraa ilaahi khaana-e-sayyaad par gire bijli ki fasl-e-gul mein jalaayaa hai aashiyaan meraa kuchh aaj-kal ke sitam kaa gila nahin us se azal ke roz se dushman hai aasmaan meraa tumhaare gham ke sivaa meri jaan duniyaa mein na koi dost hai meraa na mehrbaan meraa na khauf charkh kaa phir ho na ghair kaa khaTkaa jo tum ho mere to jaano ki hai jahaan meraa vo faash kartaa hai parda to ye chhupaati hai zamin dost hai dushman hai aasmaan meraa zabaan vo 'daagh' ke sadqe mein paai hai 'mahmud' ki shaaeri mein nahin koi ham-zabaan meraa"
M
Mahmood Rampuri
Quote
"gham-e-furqat sahaa nahin jaataa roz mar kar jiyaa nahin jaataa khizr se bhi rah-e-mohabbat mein saath mere chalaa nahin jaataa ho gai zoaf ki bhi had dil mein dard se bhi uThaa nahin jaataa ab ye surat hai mere rone par ghair se bhi hansaa nahin jaataa qabr mein saath hai tiri hasrat varna tanhaa rahaa nahin jaataa ab to ham se tire baghair mile khaak mein bhi milaa nahin jaataa dil to jaataa hai shauq mein tere shauq dil se tiraa nahin jaataa kitnaa kam-zarf hai tiraa paikaan khun-e-dil bhi piyaa nahin jaataa vo to jaate hain dil se ai gham-e-yaar tu bhi jaataa hai yaa nahin jaataa ab to ye haal hai ki un se bhi haal meraa sunaa nahin jaataa vo umangein nahin magar 'mahmud' taaknaa jhaanknaa nahin jaataa"
M
Mahmood Rampuri
Quote
"dast-e-vahshat kabhi ghaarat-gar-e-saamaan na huaa do garebaan hue jab ek garebaan na huaa 'ishq-baazi mein kab andesha-o-nuqsaan na huaa khel khele the magar khel bhi aasaan na huaa ham ne dil bechne vaale ko khasaaraa dekhaa jis ne ye maal kharidaa use nuqsaan na huaa haath par haath dhare baiThe hain ham vahshat mein haae daaman na huaa haae garebaan na huaa ham to keh dete abhi roz-e-qayaamat tujh ko us kaa didaar magar ai shab-e-hijraan na huaa dam-e-rukhsat mujhe allaah nigahbaan na kaho kyaa karungaa agar allaah nigahbaan na huaa sab chale jaaeinge duniyaa hai musaafir-khaana do kaa saamaan huaa chaar kaa saamaan na huaa dushman achchhe hain jo dam dam ki khabar puchhte hain dost itnaa bhi mire haal kaa pursaan na huaa shab ko aate nahin vo din ko ye keh jaate hain aaj ye baat hui aaj ye saamaan na huaa Dar gae dekh ke sab zakhm-e-jigar ko mere kis ne maaraa hai ise ye koi pursaan na huaa main ne 'mahmud' kahaa qissa-e-mahmud-o-ayaaz to bhi vo shokh mire haal kaa pursaan na huaa"
M
Mahmood Rampuri
Quote
"zaahir fareb nargis-e-mastaana ho gayaa kuchh hoshiyaar ab dil-e-divaana ho gayaa aansu bhare hain aankh mein us mast-e-husn ki labrez kis ki umr kaa paimaana ho gayaa izhaar-e-arz-e-vasl ye baatein nahin vahaan ik harf-e-muddaaa unhein afsaana ho gayaa pahle kahaan thaa us dil-e-betaab kaa ye haal kambakht us ko dekh ke divaana ho gayaa hamdam sharik koi bure vaqt kaa nahin jab dil saa dost ishq mein begaana ho gayaa ishq-e-butaan mein khaana-e-dil kaa rahaa ye haal kaaba banaa kabhi kabhi but-khaana ho gayaa har mai-parast jaama-e-ke-khusravi mein thaa labrez jab sharaab se paimaana ho gayaa ki main ne arz-e-vasl to bole raqib se kyaa hoshiyaar shakhs thaa divaana ho gayaa 'mahmud' hai buton se vafaa ki tujhe umiid patthar samajh pe paD gae divaana ho gayaa"
M
Mahmood Rampuri
Quote
"vo bhi kyaa din the ki ulfat kaa sabaq yaad na thaa dard hamdard na thaa gham miraa ham-zaad na thaa ghair par hi tujhe manzur thi naavak-fagani kyaa sazaa-vaar-e-hadaf ye dil-e-naashaad na thaa tujh ko laazim thaa 'ayaadat mein dikhaanaa aankhein aise bimaar ko jo qaabil-e-fariyaad na thaa jab pasand aa gayaa un ko to main qimat kyaa luun main samajh lungaa ki meraa dil-e-naashaad na thaa bol uThe aaj vo khud apni zabaan se 'mahmud' sab mein ik tu hi faqat shaaki-e-bedaad na thaa"
M
Mahmood Rampuri
Quote
"ghar mein nazar aati nahin gham-khvaar ki surat takte hain paDe ham dar-o-divaar ki surat chhupti hi nahin ishq ke bimaar ki surat kuchh aur hi hoti hai is aazaad ki surat vaade pe banaai to hai iqraar ki surat aankhon se ayaan hai magar inkaar ki surat jab vasl mein kuchh hoti hai takraar ki surat dil biich mein aa jaataa hai divaar ki surat karte hain kuchh is shaan se vo vasl kaa vaada iqraar ki surat hai na inkaar ki surat ki diid ki khvaahish to vo munh pher ke bole dekhe to koi taalib-e-didaar ki surat 'mahmud' karam dekh ke zaahid ne sar-e-hashr ye chaahaa ki ban jaaun gunahgaar ki surat"
M
Mahmood Rampuri