SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMahmood Shahid(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ek zanjir hai silsila jism kaa khatm hotaa nahin raabta jism kaa jazba-e-naa-tavaan ko mayassar nahin maangtaa hai lahu zaaiqa jism kaa lamha lamha ajab kaifiyat maujzan tajrabon se judaa tajraba jism kaa dast-o-paa chaandni chashm-o-lab chaandni saaf-o-shaffaaf hai aaina jism kaa baais-e-qurbat-e-rishta-e-jaan-o-dil fard aur fard se raabta jism kaa tanhaa uryaan badan aur vahshi zaghan khauf-angez hai vaaqia jism kaa meri aankhon mein 'shaahid' Thahartaa nahin kitnaa pur-pech hai zaaviya jism kaa"
Mahmood ShahidMahmood Shahid
Quote
"paabandiyaan hain mere hi izhaar par zaagh-o-zaghan kaa shor hai murdaar par taasir hai kis ke lahu ko dekhiye sabza ugaa hai aahani talvaar par dilkash hasin poshaak ho yaa jism ho markuz hai meri nazar baazaar par mere liye koi khabar aati nahin aur saamne akhbaar hai akhbaar par mausam ajab haalaat se do-chaar hai baadal nahin taair nahin ashjaar par dil se jigar se khuun se vaaqif kiyaa ehsaan hai amraaz kaa bimaar par ye shahr hai yaa koi zindaan kyaa kahein 'shaahid' yahaan divaar hai divaar par"
Mahmood ShahidMahmood Shahid
Quote
"miri muTThi mein miTTi hai mohabbat ki ye daulat kaaenaati hai mohabbat ki main patthar ko badal detaa huun resham mein mire haathon mein narmi hai mohabbat ki tumhein dekhun to nafrat se nahin fursat mujhe dekho to jaldi hai mohabbat ki charaagh-e-dil kabhi bujhtaa nahin meraa mizaaj-e-khun mein garmi hai mohabbat ki rag-o-pai mein utartaa hai ajab nashsha tiri aankhon mein masti hai mohabbat ki isi mein hai hamaari sarkhushi aakhir ise thaamo ye rassi hai mohabbat ki nahin hai tursh us kaa zaaiqa 'shaahid' bahut miThi ye imli hai mohabbat ki"
Mahmood ShahidMahmood Shahid
Quote
"kahaani ki kahaani ho gayaa huun tavaalat mein misaali ho gayaa huun ye basti meri khaatir ajnabi thi ki sadiyon mein maqaami ho gayaa huun gharaz koi nahin duniyaa se mujh ko main sad-fisad kitaabi ho gayaa huun muqaabil jo bhi insaan hai adu hai main sarhad kaa sipaahi ho gayaa huun main jabran kaaT letaa huun lab us ke mohabbat mein fasaadi ho gayaa huun miraa gham mere aansu meri hasti main had-darja hi zaati ho gayaa huun nahin imkaan shaahid behtari kaa kharaabi ki kharaabi ho gayaa huun"
Mahmood ShahidMahmood Shahid
Quote
"musaafir huun masaafat chaahtaa huun safar ki rah mein shiddat chaahtaa huun bahut yaksaaniyat hai roz-o-shab mein main fitrat se baghaavat chaahtaa huun koi aae mujhe sharminda kar de main ehsaas-e-nadaamt chaahtaa huun mujhe apni hi surat dekhni hai bas ik lamhe ki fursat chaahtaa huun ajab sanjidgi maahaul mein hai main thoDi si sharaarat chaahtaa huun kahaani dar-kahaani dar-kahaani main qisse mein tavaalat chaahtaa huun na apnon se na hi ghairon se 'shaahid' main khud se hi adaavat chaahtaa huun"
Mahmood ShahidMahmood Shahid
Quote
"had-e-ufuq zamin par dhuaan dhuaan hajar-hajar bashar-bashar dhuaan dhuaan jagah-jagah qayaamaton kaa raqs hai gali-gali idhar-udhar dhuaan dhuaan ajib-tar hain mausamon ki gardishein samar-samar shajar-shajar dhuaan dhuaan na suratein na manzaron kaa silsila sahar-sahar kasif-tar dhuaan dhuaan na taab hai na aab hai na rang hai nigaah mein guhar-guhar dhuaan dhuaan na raasta na sang-e-mil kaa nishaan qadam-qadam safar-safar dhuaan dhuaan ye 'shaahid'-e-nahif kaa vajud hai lahu-lahu jigar-jigar dhuaan dhuaan"
Mahmood ShahidMahmood Shahid
Quote
"maidaan bhi ek jaisaa aur ghar bhi ek jaisaa ik saaebaan falak kaa sar par bhi ek jaisaa duniyaa hai khubsurat mere liye yahaan par saaya bhi ek jaisaa paikar bhi ek jaisaa andaaz nafraton kaa badlaa nahin abhi tak jangein bhi ek jaisi lashkar bhi ek jaisaa sahraa ki ret ho yaa sabza ho vaadiyon kaa nindein bhi ek jaisi bistar bhi ek jaisaa zaahir mein mukhtalif hain lekin ba-vaqt-e-tufaan paani bhi ek jaisaa patthar bhi ek jaisaa apni jagah hai taaza sadiyon se meraa chehraa avval bhi ek jaisaa aakhir bhi ek jaisaa meraa vajud 'shaahid' shabnam kaa ek khatra baahar bhi ek jaisaa andar bhi ek jaisaa"
Mahmood ShahidMahmood Shahid
Quote
"tire bayaan mein havaala nahin to kuchh bhi nahin mire vajud kaa qissa nahin to kuchh bhi nahin vahi saraapaa vahi khaal-o-khad vahi qaamat nayaa badan nayaa chehra nahin to kuchh bhi nahin falak ki samt faqat dekhne se kyaa hogaa tiri nigaah mein ziina nahin to kuchh bhi nahin andheron aur ujaalon kaa raqs-e-baaham hai ye roz-o-shab kaa tamaasha nahin to kuchh bhi nahin shuur tira-zada aur munjamid ehsaas dimaagh-o-dil mein daricha nahin to kuchh bhi nahin zamin pe teri hukumat hai ku-ba-ku lekin dilon mein teraa ilaaqa nahin to kuchh bhi nahin na sar pe gard na chhaale hain paanv mein 'shaahid' tire safar kaa natija nahin to kuchh bhi nahin"
Mahmood ShahidMahmood Shahid
Quote
"be-shakl shabaahat hai be-rabt saraapaa hai jazbaat bhi jaamid hain ehsaas bhi tishna hai bahtaa huaa dariyaa hai uThti hui maujein hain sadiyon ki masaafat mein lamhon kaa tamaashaa hai tahzib kaa sannaaTaa saakin hai yahaan shaayad viraan haveli ki dahliz pe parda hai uljhe hue insaan ki tasvir bhi uljhi hai aankhon mein andheraa hai chehra pe ujaalaa hai manzar ke tanaazur tak kis tarah rasaai ho nazron se bhi aage hai aankhon se bhi gahraa hai ye lamha miri shab kaa kitnaa hi muqaddas hai jismon ko milaataa hai ruhon ko jagaataa hai saae ke taaaqub mein masruf hai roz-o-shab ham-zaad miraa 'shaahid' auhaam kaa maaraa hai"
Mahmood ShahidMahmood Shahid