Quote
"tanhaa na mahr mein hai rukh-e-yaar ki tarah mah mein tamaam us ke hai rukhsaar ki tarah hairaan aise naiin hui aankhon ko us ki dekh nargis chaman mein rahti hai bimaar ki tarah main sun ke jo qayaas kiyaa vo dahaan-e-tang khandaan to hai pe khanda-e-sofaar ki tarah sina-sipar huun bul-havasaan kab ki yaar ke paivasta abru laDte hain talvaar ki tarah rakhiyo hazar ai dil ki mujhe aaj be-tarah aati nazar hai shokh dil-aazaar ki tarah aghyaar us ki bazm mein hain aur dar par aah ham hi paDe raheinge gunahgaar ki tarah kahte the qais-o-vaamiq-o-farhaad vaah-vaa koi aashiqi kare to 'jahaandaar' ki tarah"







