Quote
"har ghaDi barse hai baadal mujh mein kaun hai pyaas se paagal mujh mein tum ne ro-dho ke tasalli kar li phailtaa hai abhi kaajal mujh mein main adhuraa saa huun us ke andar aur vo shakhs mukammal mujh mein chup ki divaaron se sar phoDe hai jo ik aavaaz hai paagal mujh mein main tujhe sahl bahut lagtaa huun tu kabhi chaar qadam chal mujh mein muzhda aankhon ko ki phir se phuTi ik nae khvaab ki konpal mujh mein kaaTne hain kai ban-baas yahin ug rahaa hai jo ye jangal mujh mein aag mein jaltaa huun jab jab 'athar' aur aa jaataa hai kuchh bal mujh mein"







