SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"lutf-e-vafaa nahin ki vo bedaad-gar nahin khaamosh huun ki meri fughaan be-asar nahin tere baghair talkhi-e-kaam-o-dahan haraam dard-e-jigar hai lazzat-e-dard-e-jigar nahin sajdon se naa-muraad hai jalvon se naa-umid vo rahguzar ki ab jo tiri rahguzar nahin tum kyaa gae ki saaraa zamaana chalaa gayaa vo raat-din nahin hain vo shaam-o-sahar nahin har har ravish muaamla-e-husn-o-aashiqi har har qadam farogh-e-jamaal-e-nazar nahin bebaak chaal chaal se bebaak-tar nazar ab husn to bahut hai magar fitna-gar nahin zakhmon se chuur qaafile pur-khaar raaste is mein tiraa qusur to ai raahbar nahin duniyaa-e-chashm-o-gosh to barbaad ho gai ab kuchh baghair maarka-e-khair-o-shar nahin"
Mohammad Deen TaseerMohammad Deen Taseer
Quote
"shikva-e-bejaa ki kyaa un se shikaayat ham karein kuchh to hain pahle hi barham aur kyaa barham karein vo tavajjoh dein to ho aaraasta bazm-e-hayaat vo nigaahein pher lein to anjuman barham karein yuun badal lein taala-e-khurshid se bakht-e-siyaah aasmaan ki tarah sar ko tere dar par kham karein aaina-daar-e-numud-e-husn roz-afzun jo ho ham kahaan se roz paidaa ik nayaa aalam karein aagahi sar-chashma-e-ranj-o-alam 'taasir' hai ham khushi se hi nahin vaaqif to phir kyaa gham karein"
Mohammad Deen TaseerMohammad Deen Taseer
Quote
"huzur-e-yaar bhi aansu nikal hi aate hain kuchh ikhtilaaf ke pahlu nikal hi aate hain mizaaj ek nazar ek dil bhi ek sahi muaamalaat-e-man-o-tu nikal hi aate hain hazaar ham-sukhni ho hazaar ham-nazari maqaam-e-jumbish-e-abru nikal hi aate hain hinaa-e-naakhun-e-paa ho ki halqa-e-sar-e-zulf chhupaao bhi to ye jaadu nikal hi aate hain janaab-e-shaikh vazu ke liye sahi lekin kisi bahaane lab-e-ju nikal hi aate hain mataa-e-ishq vo aansu jo dil mein Duub gae zamin kaa rizq jo aansu nikal hi aate hain"
Mohammad Deen TaseerMohammad Deen Taseer
Quote
"vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada na tariq-e-aashnaai na rusum-e-jaam-o-baadaa tiri nim-kash nigaahein tiraa zer-e-lab tabassum yunhi ik adaa-e-masti yunhi ik fareb-e-saada vo kuchh is tarah se aae mujhe is tarah se dekhaa miri aarzu se kam-tar miri taab se ziyaada ye dalil-e-khush-dili hai mire vaaste nahin hai vo dahan ki hai shagufta vo jabin ki hai kushaada vo qadam qadam pe laghzish vo nigaah-e-mast saaqi ye taraash-e-zulf-e-sarkash ye kulaah-e-kaj-nihaadaa"
Mohammad Deen TaseerMohammad Deen Taseer
Quote
"ai haq-sarisht aaina-e-haq-numaa hain ham ai ibtidaa-e-kaar tiri intihaa hain ham tum kyaa ho ishva-kaari-e-takhil aur kyaa ham kyaa hain baaz-gashta tumhaari sadaa hain ham zehn-e-azal mein ek tasavvur kaa ihtizaad maddham si ek naghma-e-kun ki navaa hain ham kuchh bhi nahin jo tu na ho tu hai to kyaa nahin sab kuchh bhi ham hain aur jo sochein to kyaa hain ham aa ai naqaab-posh-e-azal aa qarib-tar parda ulaT ke aa ki teraa muddaaa hain ham kaisi talaash-e-raah ki manzil mein aap hain kaisi rajaa-o-bim ki khud muddaaa hain ham"
Mohammad Deen TaseerMohammad Deen Taseer