Quote
"naam hi rah gayaa ik anjuman-aaraai kaa chhup gayaa chaand bhi ab to shab-e-tanhaai kaa dil se jaati nahin Thahre hue qadmon ki sadaa aankh ne svaang rachaa rakkhaa hai binaai kaa ek ik yaad ko aahon se jalaataa jaaun kaam saunpaa hai ajab us ne masihaai kaa ab na vo lams nigaahon kaa na khushbu ki sadaa dil ne dekhaa thaa magar khvaab shanaasaai kaa saaat-e-dard farozaan hai bahaa lein aansu TuTne ko hai kaDaa vaqt shakebaai kaa"







