Quote
"vo aazmaaein mujhe un ko aazmaaun main phir aandhiyon ke liye ik diyaa jalaaun main phir apni yaad ki purvaaiyaan bhi qaid kare vo chaahtaa hai agar us ko bhuul jaaun main udaas aankhon ko saughaat de ke ashkon ki ye us ne khuub kahaa hai ki muskuraaun main miyaan ye ziist ki sachchaaiyon ke qisse hain koi fasaana nahin hai jise sunaaun main fasaad, qatl, taassub, fareb, makkaari safed-poshon ki baatein hain kyaa bataaun main isi ko kahte hain mearaaj kyaa mohabbat ki vo yaad aae to phir khud ko bhuul jaaun main jamaal-e-yaar pe ghazlein to ho chuki hain bahut ye sochtaa huun use aaina dikhaaun main"







