Quote
"khuun se gundhaa miTTi ko aur aadam ko taamir kiyaa uupar vaale ne bhi apne khvaabon ko taabir kiyaa tanhaai ke saaz pe chheDe saare dard sadaaon ke vahshat ke aanchal se lipTe aur use zanjir kiyaa jis lahje ko bhi jhuThlaayaa haath mein us ke khaak lagi jis abru tak haath baDhaayaa ham ne us ko tiir kiyaa upar jaane vaale raste pasti ke mohtaaj kiye ham jis ke qadmon mein baiThe us ko hi jaagir kiyaa meraa chehra dekhne vaalo paDhnaa bhi to sikho naa kitne mushkil mausam kaaTe aur un ko tafsir kiyaa apnaa ronaa rone vaale tu kis khet ki muuli hai ishq ne tujh se pahle jaane kitnon ko raahgir kiyaa"
M
Muqaddas Malik






