Quote
"faraaz-e-daar ko zauq-e-junun talaash kare ye dil ki teri nazar kaa fusun talaash kare sukun ke liye pahle nazar nazar se mile nazar milaa ke ye dil phir sukun talaash kare kisi ne zohd kiyaa aur to koi mast huaa jise tu yuun nahin miltaa vo yuun talaash kare lo aaj ramz-e-nihaan ko ayaan karun ki bashar barun pe sabt hai takhti darun talaash kare tamaam shahr shajar bheDiyon ke jaisaa hai har ek pyaas bujhaane ko khuun talaash kare"







