Quote
"us ke dil par asar nahin hotaa be-khabar baa-khabar nahin hotaa ishq hi jin kaa din-o-mazhab ho maut kaa un ko Dar nahin hotaa pyaar kartaa na main agar tujh se is tarah dar-ba-dar nahin hotaa jaane kyon khushk ho gaiin aankhein ab to daaman bhi tar nahin hotaa dil ki viraan ho gai basti us kaa jab se guzar nahin hotaa ai mire ham-safar kahaan hai tu mujh se tanhaa safar nahin hotaa hausle dil ke hon buland agar raasta pur-khatar nahin hotaa"







