SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNatiq Lakhnavi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jo mere dil mein sahv tiri yaad se huaa naam us kaa mahv aalam-e-ijaad se huaa barbaad khaak-e-dil hai to ehsaan-e-husn kyaa main sar-buland ishq ki uftaad se huaa aise bhi hain ki jin ko rihaai ki fikr hai sharminda main to zahmat-e-sayyaad se huaa naaqus aur azaan ki binaa ishq se paDi fariyaad kaa chalan miri fariyaad se huaa ishq-o-havas ne mil ke banaai hai bazm-e-husn ye ittihaad majma-e-azdaad se huaa duniyaa-e-be-sabaat kaa qissa thaa mukhtasar tuul itnaa meri qaid ki miaad se huaa"
Natiq LakhnaviNatiq Lakhnavi
Quote
"hai vahi naaz-aafrin aaina-e-niyaaz mein jis ki ziyaa hai soz mein jis ki sadaa hai saaz mein apne niyaaz-mand hai parde ki rasm-o-raah hai varna hijaab ko kahaan dakhl harim-e-naaz mein sajde mein mar gayaa agar phir na uThegaa hashr tak qaid na rakhiye vaqt ki mere liye namaaz mein naaz ko nuur kar diyaa sarvar-e-kaainaat ne vo jo lagi thi tuur par aa ke bujhi hijaaz mein 'naatiq' sokhta-jigar dil pe to haath rakh zaraa ab ke bhi kuchh chamak si thi naala-e-jaan-gudaaz mein"
Natiq LakhnaviNatiq Lakhnavi
Quote
"mujh se afsurda na ai josh-e-bahaaraan honaa kaif mein bhuul gayaa chaak-garebaan honaa jab bikhar jaati hai zulf aur nikhar jaati hai mujh ko jamiyat-e-khaatir hai pareshaan honaa zarra zarra hai tajalli se laDaae hue aankh kis qayaamat ki numaaish hai ye pinhaan honaa duur hain tujh se abhi nuur ke zarre har-su ai miri khaak zaraa aur pareshaan honaa hasrat-e-did ne aaina banaayaa dil ko ain nazzaara hai nazzaare kaa armaan honaa husn har shai ko diyaa ishq milaa har dil ko taaki aasaan ho insaan kaa insaan honaa khuub hotaa hai numaayaan sukhan-e-'naatiq' se misl-e-maani tiraa har lafz mein pinhaan honaa"
Natiq LakhnaviNatiq Lakhnavi
Quote
"ye dil nahin nuur kaa hai shoala kisi ko is se zarar nahin hai misaal barq-o-sharar hai lekin mizaaj barq-o-sharar nahin hai hai ru-kash-e-aaftaab zarra baghair parda bilaa-vasila vahaan lagaai hai aankh dil ne jahaan majaal-e-nazar nahin hai haram se nikle talaash-e-but mein buton se yaad-e-khudaa pe bigDi gharaz ham aavaara-e-vafaa hain kahin hamaaraa guzar nahin hai jo dekhne vaale dekhte hain vo sunne vaalon se kyaa bataaein nazar ko zauq-e-zabaan nahin hai zabaan ko zauq-e-nazar nahin hai azaan ho naaqus yaa jaras ho muassar apni jagah pe sab hain magar jahaan main pahunch gayaa huun vahaan kisi kaa asar nahin hai vo nichi nazrein thiin dil ki taalib vafaa ne go jaan nazr kar di magar asar jo savaal mein thaa javaab mein vo asar nahin hai sukhan miraa kaif-e-dil hai 'naatiq' vo qadr karte hain jo ho aashiq nahin hai ye falsafa kitaabi ye iktisaabi hunar nahin hai"
Natiq LakhnaviNatiq Lakhnavi
Quote
"farogh-e-mehr se rindon kaa aakhir kaam kyaa hogaa zamin par daur chaltaa hai falak par jaam kyaa hogaa ye main jaanun ki main ne kyuun kiyaa aaghaaz ulfat kaa ye vo jaanein ki is aaghaaz kaa anjaam kyaa hogaa tiraa tark-e-sitam tamhid hai tark-e-taalluq ki mujhe is dil-shikan-aaraam se aaraam kyaa hogaa pareshaan main nahin lekin jafaa par tum pashemaan ho vafaa par meri is se baDh ke aur ilzaam kyaa hogaa sharaabi hai vahi rag rag mein jis ki qudrati mai ho na ho kaif-aafrin jo dil vo mai-aashaam kyaa hogaa khushi hogi davaami gham-zadon ko jab kabhi hogi jise har-vaqt ho aaraam use aaraam kyaa hogaa gumaan thaa nek mujh par nek logon kaa so ab tak hai magar ab main kahaan 'naatiq' mujhe ilhaam kyaa hogaa"
Natiq LakhnaviNatiq Lakhnavi
Quote
"dobaara dil mein koi inqalaab ho na sakaa tumhaari pahli nazar kaa javaab ho na sakaa kamaal-e-nur zavaal-e-hijaab ho na sakaa vo be-naqaab kabhi be-naqaab ho na sakaa dil-e-tapida huaa bazm-e-husn se vaapas nazar Thahar na saki intikhaab ho na sakaa ravish badal gai tevar tire nahin badle qayaamat aai magar inqilaab ho na sakaa kahaan dil aur kahaan dil ke aaine ki adaa gharaz savaal se behtar javaab ho na sakaa mire savaal pe us ne nazar jo ki nichi phir us kaa mujh se javaab-ul-javaab ho na sakaa jalaal-e-ro'b hai 'naatiq' jamaal par us ke vo be-naqaab kabhi be-naqaab ho na sakaa"
Natiq LakhnaviNatiq Lakhnavi
Quote
"na qatra kam hai na kaafi tamaam mai-khaana jo zarf jis kaa hai us kaa vahi hai paimaana asar hai sab pe mai-e-ishq kaa judaagaana kisi ko nashsha nahin hai koi hai divaana tajalliyon mein ho taqsim khaak-e-dil kyun-kar hazaar sham' farozaan aur ek parvaana bayaan-e-zakhm-e-jigar par vo muskuraate hain hansi hansi mein badalte hain rang-e-afsaana kisi ke zakhm se miltaa nahin kisi kaa zakhm tiri nazar ke hain rukh kis qadar judaagaana har ek zarra sharaabi har ek qatra sharaab tamaam 'aalam-e-imkaan hai ek mai-khaana jahaan-numaa to hai saaqi-numaa nahin 'naatiq' badal ke le gayaa jamshed meraa paimaana"
Natiq LakhnaviNatiq Lakhnavi
Quote
"ai shama tujh pe raat ye bhaari hai jis tarah main ne tamaam umr guzaari hai is tarah dil ke sivaa koi na thaa sarmaaya ashk kaa hairaan huun kaam aankhon kaa jaari hai kis tarah unsur hai khair o shar kaa har ik shai mein yuun nihaan har sham'-e-bazm nuri-o-naari hai jis tarah bas yuun samajh lo mujh ko umid-e-sahar na thi kyaa puchhte ho raat guzaari hai kis tarah us naqsh-e-mustaqil pe hai sharminda aaina tasvir un ki dil pe utaari hai is tarah 'naatiq' jalaal mein bhi asar is qadar nahin ro'b-e-jamaal qalb pe taari hai jis tarah"
Natiq LakhnaviNatiq Lakhnavi
Quote
"daraaz itnaa miri qaid kaa zamaana thaa ki vo chaman na rahaa jis mein aashiyaana thaa bahaae ashk jo us ne ye ik bahaana thaa ki khun-bahaa ko mire khaak mein milaanaa thaa balaa se jaan gai intizaar mein meri mujhe to aap kaa ik vaada aazmaanaa thaa jafaa-e-charkh zaruri thi ishq se pahle ki apne dil kaa mujhe zor aazmaanaa thaa ab intizaar tumhaaraa main aur kyaa kartaa hui thi der bahut mujh ko duur jaanaa thaa jahaan ham aaj gharib-ud-dayaar hain 'naatiq' usi dayaar mein apnaa gharib-khaana thaa"
Natiq LakhnaviNatiq Lakhnavi