Quote
"gorakh-dhandhaa ho jaaun kyaa? main bhi tum saa ho jaaun kyaa? ghazlon ki basti suuni hai phir aavaara ho jaaun kyaa? sach kaa girvi chhuDvaanaa hai thoDaa jhuTaa ho jaaun kyaa? saavan ne aansu se puchhaa main bhi khaaraa ho jaaun kyaa? sab ummidein Duub rahi hain tinkaa tinkaa ho jaaun kyaa? ghar daftar ke baTvaare mein aadhaa aadhaa ho jaaun kyaa? manDi ab bas uThne ko hai thoDaa sastaa ho jaaun kyaa? sab kaa ho kar dekh chukaa huun vaapas khud kaa ho jaaun kyaa?"







