SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byPrem Warbartani(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"phirte rahe azal se abad tak udaas ham aae na inqilaab-e-zamaana ko raas ham dekheinge chhu ke surkh badan aaftaab kaa tabdil kar chuke hain khalaa kaa libaas ham ye zindagi to khun-e-jigar pi gai tamaam kaise bujhaaein sukhe samundar ki pyaas ham shahr-e-junun ki dhuup jalaa degi jism-o-jaan chaliye chalein ghanere chanaaron ke paas ham pur-nur hai hamin se kharaaba hayaat kaa raaton kaa rang tum ho ujaalon ki aas ham amrit sharaab zahr aji kuchh to Daaliye aae hain le ke duur se khaali gilass ham jab se bichhaD gai tiri khaana-ba-dosh yaad ai 'prem' suune ghar ki tarah hain udaas ham"
Prem WarbartaniPrem Warbartani
Quote
"dekho ki dil-jalon ki kyaa khuub zindagi hai parvaane jal chuke hain aur shama jal rahi hai kahne ko mukhtasar saa ik lafz hai mohabbat lekin usi mein saari duniyaa chhipi hui hai khvaab-e-hasin se mujh ko chaunkaa diyaa hai kis ne kis ne chaman mein aa kar aavaaz mujh ko di hai dekho zaraa farogh-e-husn-e-bahaar dekho ik ik kali chaman ki dulhan bani hui hai laae bashar kahaan se us husn ki misaalein qudrat jise banaa kar hairat mein kho gai hai bujhti nahin hai saare aalam ke aansuon se ye kaisi aag mere dil mein bhaDak rahi hai ai 'prem' zarb-e-sar se zindaan ko toD Daalo paabandiyon kaa jiinaa bhi koi zindagi hai"
Prem WarbartaniPrem Warbartani
Quote
"ru-ba-ru sina-ba-sina paa-ba-paa aur lab-ba-lab naachti shab mein barahna ho gae kyuun sab ke sab khud-kushi kar li bhare gulshan mein jis ne be-sabab main ne sikhaa hai usi hamraaz se jiine kaa Dhab hanste hanste ruuh ki aavaaz paagal ho gai gumbadon ki khaamushi ne der tak khole na lab pi rahe hain khushnumaa shishon mein log apnaa lahu aur kyaa hogaa anokhe rang kaa jashn-e-tarab ai mohabbat ab to lauTaa de mire sajde mujhe marte dam tak zindagi karti rahi teraa adab laash suraj ki siyah kamre mein thi laTki hui mere ghar kaa qufl kholaa shab ki tanhaai ne jab 'prem' teri shaaeri hai yaa muqaddas ju-e-shir tisha-e-takhliq jis se daad kartaa hai talab"
Prem WarbartaniPrem Warbartani
Quote
"ye shab to kyaa sahar ko bhi shaayad nahin pataa main aakhiri charaagh huun suraj ke shahr kaa bazm-e-sukut-e-dil mein hai halchal machi hui saarangiyaan hain kis ke badan ki ghazal-saraa meri bayaaz-e-dard vo paDh kar bahut hanse thaa naam jin kaa pahle varaq par likhaa huaa dekhaa 'ajib khvaab amaavas ki raat ne ham chal rahe the chaand pe donon barahna-paa sho'lon ke haath the ki ThiThurte chale gae phir barf kaa libaas kisi ne pahan liyaa sone ki tashtari mein sajaa kar na phuul bhej ye khel mujh gharib se dekhaa na jaaegaa khushbu ke khvaab mein na Dhali zindagi magar chandan ki lakDiyon se jalaanaa miri chitaa kaaghaz ki naav aag ke dariyaa mein Daal di kyaa jaane aur chaahti kyaa hai tiri anaa ai dost is qadar bhi akelaa koi na ho main khud bhi apne saath nahin dusraa to kyaa ai 'prem' yuun to dhuum thi saare jahaan mein apne hi ghar mein koi hamein puchhtaa na thaa"
Prem WarbartaniPrem Warbartani
Quote
"kabhi khole to kabhi zulf ko bikhraae hai zindagi shaam hai aur shaam Dhali jaae hai har khushi mom ki guDiyaa hai muqaddas guDiyaa taaj shoalon kaa zamaana jise pahnaae hai khaamushi kyaa kisi gumbad ki fazaa hai jis mein guunj ke meri hi aavaaz palaT aae hai zindagi puchhe hai ro kar kisi beva ki tarah chuDiyaan kaun mire haath mein pahnaae hai dil kisi jaam-e-labaalab ki tarah lahraa kar phir tire dast-e-hinaai mein chhalak jaae hai kaun samjhe mire ikhlaas ki azmat ko bhalaa main vo dariyaa huun jo qatre mein samaa jaae hai 'prem' dekho to sahi zakhmon ke zevar ki phaban shaaeri ban ke dulhan aur bhi sharmaae hai"
Prem WarbartaniPrem Warbartani
Quote
"kis ne dekhe honge ab tak aise nae niraale patthar main ne apne taaj-mahal mein chunvaae hain kaale patthar jo hiron ke ruup mein dar dar apne aansu baanT rahe hain un fan-kaaron par pheinkeinge kab tak duniyaa vaale patthar jaane kaun the jin ko jivan-rut se bhiik mili rangon ki apni suuni jholi mein to phulon ne bhi Daale patthar maqtal ki be-rahm fasilein sar tak aa pahunchi hain aakhir mere jism ki divaaron se ab to koi haTaa le patthar pyaar tumhaaraa jhuTaa hai aur jhuTaa hai bhagvaan bhi shaayad varna kuchh to kahte buDhe mandir ke rakhvaale patthar apne apne naam ke ujle shish-mahal ki khair manaao har shohrat ki muTThi mein hain rusvaai ke kaale patthar ai dhanvaano tum kyaa jaano zauq-e-ibaadat qadr-e-parstish tum sab hiire moti le lo kar do mire havaale patthar 'prem' is yug ki saal-girah par aur bhalaa kyaa tohfa dete chaand ki dilkash dharti se bhi ham ne DhunDh nikaale patthar"
Prem WarbartaniPrem Warbartani
Quote
"raat ki bhigi palkon par jab ashk hamaare hanste hain sannaaTon ke saanp dilon ki tanhaai ko Daste hain kal tak mai-khaane mein jin ke naam kaa sikka chaltaa thaa qatra qatra mai ki khaatir aaj vo log taraste hain ai mere majruh tabassum rup-nagar ki riit na puchh jin ke sinon mein patthar hain un par phuul baraste hain shahr-e-havas ke saudaai khud jin ki ruhein nangi hain mere tan ki uryaani par aavaaze kyuun kaste hain chhin sakegaa kaun sabaa se lams hamaari saanson kaa ham phulon ki khushbu ban kar gulzaaron mein baste hain ashkon ki qimat kyaa jaanein pyaar ke jhuTe saudaagar in sayyaal naginon se to hiire moti saste hain kaun aaegaa nange pairon shama jalaa kar shaam Dhale 'prem' mohabbat ki manzil ke baDe bhayaanak raste hain"
Prem WarbartaniPrem Warbartani
Quote
"ho gayaa huun har taraf bad-naam tere shahr mein ye milaa hai pyaar kaa inaam tere shahr mein jab sunahri chuDiyaan bajti hain dil ke saaz par naachti hai gardish-e-ayyaam tere shahr mein is qadar paabandiyaan aakhir ye kyaa andher hai le nahin sakte tiraa hi naam tere shahr mein ab to yaadon ke ufuq par chaand ban kar muskuraa rote rote ho gai hai shaam tere shahr mein kab khulegaa tere mai-khaane kaa dar mere liye phir rahaa huun le ke khaali jaam tere shahr mein ek divaane ne kar li khud-kushi pichhle pahar aa gayaa aakhir use aaraam tere shahr mein 'prem' yusuf to nahin lekin ba-andaaz-e-digar ho chukaa hai baar-haa nilaam tere shahr mein"
Prem WarbartaniPrem Warbartani
Quote
"guftugu kyuun na karein dida-e-tar se baadal lauT aae hain sitaaron ke safar se baadal kyaa ghazabnaak thi suraj ki barahna shamshir kaale mujrim ki tarah nikle na ghar se baadal raat ki kokh koi chaand kahaan se laae ye zamin baanjh hai barse ki na barse baadal barf se kahiye ki saughaat kare un ki qubul laae hain aag ke dastaane safar se baadal main ki huun dhuup kaa aazaad parinda lekin baal kyuun noch rahe hain mire par se baadal aakhiri khat to likhungaa main lahu se khud ko ab bhi maayus jo lauTe tire dar se baadal na kisi jism kaa jaadu na ghaTaa gesu ki 'prem' kyuun ruuTh gae prem-nagar se baadal"
Prem WarbartaniPrem Warbartani