SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byPriyamvada Ilhan(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"dil lagaane ham chale the dil ke sau TukDe hue kyaa kahein ik ishq mein kaar-e-junun kitne hue ham ko lagtaa thaa nikal aae hain saae se tire log lekin puchhte hain kyaa the tum kaise hue ab na koi aarzu hai aur na vahshat hi rahi ik ghaDi hai us ke kaanTon se hain bas laTke hue ham ko jo sunnaa thaa vo bolaa unhon ne kis ghaDi hosh un ko bhi na thaa jab ham bhi the bahke hue beach raste mein kahaa jab ham-safar ne alvidaaa lauT kar ham bhi chale naqsh-e-qadam ginte hue"
Priyamvada IlhanPriyamvada Ilhan
Quote
"rahguzar ke saath ik hamraah bhi to chaahiye aur aaghaaz-e-safar ko chaah bhi to chaahiye naaz-o-andaaz-o-adaa ye ishq ke rahbar hain sab ham ko is tufaan ki lekin thaah bhi to chaahiye aah-o-giryaa sog maatam shaairi mein kar ke nazm apni ayyaari pe ab kuchh vaah bhi to chaahiye maslahat allaah ki kuchh hogi dard-e-ishq mein hai sukun ki baat par allaah bhi to chaahiye jiit un ki hai ki jo karte nahin izhaar-e-dard zulm ko sar chaahiye par aah bhi to chaahiye kab tak aakhir karte jaaein ham ye kaar-e-intizaar saal mein do saal mein tankhvaah bhi to chaahiye khud-kushi ik aakhiri koshish hai zinda rahne ki khud-kushi karne ko ik parvaah bhi to chaahiye"
Priyamvada IlhanPriyamvada Ilhan
Quote
"ik sahaare pe jo sab baiThaa ho haare jaise yaar lagte ho bashar tum bhi hamaare jaise na kareinge koi shikva na taqaazaa tum se hote hote hue lo ham bhi tumhaare jaise tu ne di hai ye mujhe kaisi hasin be-rangi saanjh ke baal koi raat sanvaare jaise zindagi kyaa hai nahin tujh ko zaraa bhi ye khabar zindagi dariyaa hai aur sab hain kinaare jaise fikr hoti hai bhare dil se jo dekhun tujh ko koi sote hue bachche ko nihaare jaise tu jo hai hi nahin kyon tujh ko banaaun vaisaa muntazir shab kaa take din mein sitaare jaise"
Priyamvada IlhanPriyamvada Ilhan
Quote
"nazar kaa ye eajaaz ham dekhte hain har ik samt vo hi sanam dekhte hain idhar aate un ke qadam dekhte hain sitam hai ki hai ye karam dekhte hain judaa dekhte hain zamin aasmaan se khudaa kaa judaa ye karam dekhte hain na duniyaa rahegi na ham tum hi honge abas ek duuje ko ham dekhte hain adaavat ki buniyaad hi rashk par hai adu khvaab mein khud ko ham dekhte hain bahut milne se aib dikhte hain kam-kam bahut dekhte hain jo kam dekhte hain kisi ne na dekhaa jo zaahir thaa sab par jahaan mein sab apne bharam dekhte hain buraa lag gayaa hai miraa sach hi itnaa tire jhuuT ko log kam dekhte hain nahin Tas se mas hote dekhoge ham ko raqibo tumhaaraa bhi dam dekhte hain"
Priyamvada IlhanPriyamvada Ilhan
Quote
"khvaab chaahe khvaab hi ho dil lagaane de mujhe is haqiqat se kabhi to jaan chhuDaane de mujhe inqalaab aa ke rahegaa haq ki hogi jiit hi baiTh mere paas khud ko varghalaane de mujhe be-tarah tanhaa hain vo jo ishq ke qaail nahin un ko siine se lagaa kuchh pal sulaane de mujhe aaj-kal to khvaab bhi aane lage hain aam se aa bichhaD jaa khvaab mein phir gham puraane de mujhe roknaa hai khud ko har kaar-e-junun se ab mujhe yaar ab kuchh dost naaseh kuchh siyaane de mujhe ghar mein rah kar bhi tiri sahraa-navardi kam nahin apni si divaangi ab ai divaane de mujhe ishq yak-rangi huaa aur gham bhi kuchh taaza nahin shaairi ke vaaste achchhe bahaane de mujhe ye chaman sahraa huaa hai panchhi bhi khaamosh hain pyaar barsaa kar yahaan bone taraane de mujhe daadi naani ki kahaani mein sabhi jab Thiik thaa badlaa kyon meraa jahaan guzre zamaane de mujhe"
Priyamvada IlhanPriyamvada Ilhan
Quote
"dil hi dil mein aarzu jis ki kiyaa karte the ham mashvare bhi 'ishq ke us ko diyaa karte the ham jaane kitne saal guzre jaane kitne din gae ek aisaa daur bhi thaa jab jiyaa karte the ham ab chhupaae phir rahe hain ham jo apne zakhm-e-dil un piyaalon se kabhi khul kar piyaa karte the ham ham ko har mukhlis davaa bhi lagti hai khanjar si ab ek zaalim ki balaaein sar liyaa karte the ham raushni ke darmiyaan ik tirgi se dil milaa phir banaane tirgi khud hi ziyaa karte the ham us ke jaane kaa sabab sochaa to uljhe khud se hi aap hi apnaa garebaan phir siyaa karte the ham"
Priyamvada IlhanPriyamvada Ilhan
Quote
"hasraton kaa silsila hai zindagi bhar ke liye ishq kyaa hai masala hai zindagi bhar ke liye vo ye bolaa jaane kab tak saath mere tum raho main ye boli ye balaa hai zindagi bhar ke liye ham na de paae kisi ko gham na de paae sukun khud se bas ye hi gila hai zindagi bhar ke liye le ke haq ki baat uThein kaT kaT ke maidaan mein girein zindagi ik karbalaa hai zindagi bhar ke liye khushnumaa mahfil mein bhi siski sunaai deti hai koi mujh mein mubtalaa hai zindagi bhar ke liye dil lagaaein zakhm khaaein aur gaate jaaein giit kis kaa itnaa hausla hai zindagi bhar ke liye"
Priyamvada IlhanPriyamvada Ilhan
Quote
"tire yaqin pe ham ne yaqin yaar kiyaa na ho rahaa thaa hamein phir bhi baar-baar kiyaa nami vo aankh mein raushan hui hai muddat baa'd nami ki jis kaa azal se hai intizaar kiyaa dilaasaa de ke na laghzish ko tu gunaah banaa mujhe zaraa bhi nadaamat nahin ki pyaar kiyaa zamin rahi na rahaa aasmaan bharose kaa khudaa ki zaat pe jis din se eatibaar kiyaa khirad to ishq ko khaatir mein hi nahin laataa qaraar dil ko diyaa dil hi be-qaraar kiyaa chale hain silsile jab se tujhe manaane ke hamein hamaari anaa ne hi sharmsaar kiyaa tiraa vo raaz-e-nihaan aaj bhi nihaan hi hai ye baat aur ki tu ne to aashkaar kiyaa mile koi bhi hansi rahti hai labon pe mire ajiib lahja udaasi ne ikhtiyaar kiyaa"
Priyamvada IlhanPriyamvada Ilhan