Quote
"tumhein dil-lagi bhuul jaani paDegi mohabbat ki raahon mein aa kar to dekho taDapne pe mere na phir tum hansoge kabhi dil kisi se lagaa kar to dekho vafaaon ki ham se tavaqqo nahin hai magar ek baar aazmaa kar to dekho zamaane ko apnaa banaa kar to dekhaa hamein bhi tum apnaa banaa kar to dekho khudaa ke liye chhoD do ab ye parda ki hain aaj ham tum nahin ghair koi shab-e-vasl bhi hai hijaab is qadar kyon zaraa rukh se aanchal uThaa kar to dekho jafaaein bahut kiin bahut zulm Dhaae kabhi ik nigaah-e-karam is taraf bhi hamesha hue dekh kar mujh ko barham kisi din zaraa muskuraa kar to dekho jo ulfat mein har ik sitam hai gavaaraa ye sab kuchh hai paas-e-vafaa tum se varna sataate ho din-raat jis tarah mujh ko kisi ghair ko yuun sataa kar to dekho agarche kisi baat par vo khafaa hain to achchhaa yahi hai tum apni si kar lo vo maanein na maanein ye marzi hai un ki magar un ko 'purnam' manaa kar to dekho"







