SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"idhar bhi kabhi chaaraagar dekh lenaa haraa kyon hai zakhm-e-jigar dekh lenaa ujaale yahin aa ke dam toDte hain kabhi shaam ko meraa ghar dekh lenaa giraan tujh pe guzre na meri rifaaqat kaDe kos hain ham-safar dekh lenaa nahin aarzi dil ki gham-parvari kuchh yunhi apni hogi basar dekh lenaa ye hangaama-e-qasr-e-parvez ai dil rahegaa faqat raat bhar dekh lenaa bapaa hashr kar degaa raahat-kadon mein mire ranj-o-gham kaa asar dekh lenaa sitamgaar kaa jashn-e-raamish-gari hai faqat ek raqs-e-sharar dekh lenaa shabistaan-e-ishrat mein jo parda-gar hain vahi honge phir parda-dar dekh lenaa fasaana miraa ghaur se sun rahaa thaa hai nam chashm-e-najm-e-sahar dekh lenaa"
Qazi Ghulam MohammadQazi Ghulam Mohammad
Quote
"jab tere tasavvur se taslim ki shah paai chup-chaap rahaa shaair Dasti rahi tanhaai sad-rang gulistaan hain raqsaan pas-e-manzar mein allaah re is gul ki ye anjuman-aaraai shaayad tiri yaadon se kuchh is kaa ta'alluq hai ik aag lagaa baiThi ye duur ki shahnaai ye ijz-e-hunar kab hai izhaar-e-haqiqat hai imkaan se aage hai zarraat ki pahnaai shaair ki ibaadat hai mahtaab ke mandir mein tere but-e-simin ke qadmon pe jabin-saai 'qaazi' mire siine ki ye aag sulagti si bhigi hui raaton ne kuchh aur bhi bhaDkaai"
Qazi Ghulam MohammadQazi Ghulam Mohammad
Quote
"darun-e-mai-kadaa kis darja hasrat-rez hai saaqi jo gard-aalud kursi hai to TuuTi mez hai saaqi na kyon hur-e-jinaan ke zikr se mahzuz ho vaaiz ye us ke tausan-e-dil ke liye mahmez hai saaqi mire auqaat-e-girya Time Table par muqarrar hain ye banda ishq ke baare mein bhi angrez hai saaqi jalaa kar rakh diyaa hai us ne shahr-e-aarzu meraa tiraa darbaan asli vaaris-e-changez hai saaqi zaraa is unghte mai-kash ki ik bharpur chuTki le gulaabi naakhun-e-tadbir teraa tez hai saaqi vo mere do nae paise hi apne purse mein rakh le ki us ke sabr kaa paimaana ab labrez hai saaqi raqib-e-ru-siyah sar phoD legaa kohkan ban kar tiraa shauhar khudaa ke fazl se parvez hai saaqi miraa hissa mujhe chhup kar hi mil jaae to behtar hai gadaa-e-mai-kada ghairon se kam-aamez hai saaqi"
Qazi Ghulam MohammadQazi Ghulam Mohammad
Quote
"baandhaa thaa kisi shokh se paimaan-e-tamanna rangin hai miraa aalam-e-imkaan-e-tamanna ik zulf-e-siyah mast thi imaan-e-tamanna ik chehra-e-gulnaar thaa unvaan-e-tamannaa sad-shukr ki tufaan-e-havaadis ke muqaabil jalti hi rahi shama-e-shabistaan-e-tamanna vo arz-e-muqaddas hai kahaan chaand-sitaaro khilte hain jahaan laala-o-raihaan-e-tamanna aavaara-e-darmaan mujhe rakkhegaa azal tak ye dil mein khaTaktaa huaa paikaan-e-tamanna zindaan se kisi tarah nahin kam ye khudaai har dil hai yahaan sokhta-saamaan-e-tamannaa"
Qazi Ghulam MohammadQazi Ghulam Mohammad
Quote
"jab josh-e-bahaaraan thaa un chaandni raaton mein har zarra gulistaan thaa un chaandni raaton mein jab apni adaaon se ik zohra-jabin paikar ghaarat-gar-e-imaan thaa un chaandni raaton mein jannat thi bahut dilkash shaadaab nazaaron ki har lamha rag-e-jaan thaa un chaandni raaton mein jab sarv ki saf kaa vo mehraab-numaa saaya tasvir-e-shabistaan thaa un chaandni raaton mein jab phuul saa vo chehra us jaan-e-bahaaraan kaa taqdis kaa unvaan thaa un chaandni raaton mein jab vaqt damakti si shaakhon pe sanobar ki ik dida-e-hairaan thaa un chaandni raaton mein bhigi hui aankhon kaa mauhum ishaaraa bhi ik khuld-badaamaan thaa un chaandni raaton mein eajaaz-e-mohabbat thaa allaah ki rahmat thi qismat pe main naazaan thaa un chaandni raaton mein muddat se nahin dekhaa us husn-e-gulaabi ko shaair kaa jo mehmaan thaa un chaandni raaton mein"
Qazi Ghulam MohammadQazi Ghulam Mohammad
Quote
"Dar ye nahin ki hijr mein jiinaa muhaal hai Dar hai ki khaaksaar kasir-ul-'ayaal hai chhe saat ser khaa ke bhi kahtaa hai maulvi aalam tamaam halqa-e-daam-e-khayaal hai ab vo shab-e-firaaq ki nindein kahaan nasib ai dil shab-e-visaal mein sonaa muhaal hai kutton kaa ik hujum jilau mein hai raat din patlaa dayaar-e-husn mein aashiq kaa haal hai dafnaa ke jaa rahaa hai mujhe vo sitam-zarif aankhon mein ju-e-khun hai baghal mein kudaal hai samjhaa ke mujh ko ishq khalal hai dimaagh kaa naaseh ne un se shaadi ki meraa khayaal hai kah do ye apni maan se kare fan kaa ehtiraam khaansi ye kyaa hai jis mein ki sur hai na taal hai ye ahd-e-barshgaal kiraae kaa ye makaan yaani har ek kamre mein chhoTaa saa taal hai khelaa kiye ye taash main royaa kiyaa lahu chaaragaron ke faiz se jiinaa muhaal hai"
Qazi Ghulam MohammadQazi Ghulam Mohammad