Quote
"dastaras mein nahin haalaat tujhe kyaa maalum ab zaruri hai mulaaqaat tujhe kyaa maalum raat ke pichhle pahar nind-shikan tanhaai kaise karti hai savaalaat tujhe kyaa maalum tu ba-zid hai ki sar-e-aam parastish ho tiri main huun paaband-e-rivaayaat tujhe kyaa maalum jashn saavan kaa yuun baDh-chaDh ke manaane vaale zulm kyaa Dhaati hai barsaat tujhe kyaa maalum shaana-e-vaqt pe ab zulf-e-pareshaan ki tarah bikhri rahti hai miri zaat tujhe kyaa maalum silsila-vaar dahakte hain sahar hone tak sar-e-mizhgaan mare jazbaat tujhe kyaa maalum saada baatein thiin 'khayaal' us ki magar un mein kai chup the rangin khayaalaat tujhe kyaa maalum"







