SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySafdar Hamadani(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"gulsitaan-dar-gulsitaan ab baaghbaan koi nahin phuul sab tanhaa khaDe hain titliyaan koi nahin dhuup achchhi lag rahi hai aaj kitne din ke baad baadalon kaa duur tak naam-o-nishaan koi nahin khushk lakDi ki tarah se jal gae saare makaan ye ajab ki saari basti mein dhuaan koi nahin naam kyaa degaa koi in be-sabab haalaat ko mehrbaan saare hain lekin mehrbaan koi nahin apne ghar se duur rah kar har qadam hai imtihaan kaun kahtaa hai yahaan par imtihaan koi nahin us ne apne shauq se dast-e-duaa kaTvaa diye us ke chehre par likhi ab daastaan koi nahin raat ki jhilon mein utregi kahaan se chaandni ham siyaah-bakhton ko bhi aisaa gumaan koi nahin kyaa khabar kyaa ho gayaa hai is muammar shakhs ko din Dhale jangal se chuntaa lakDiyaan koi nahin ik ajab saa haadsa dekhaa hai 'safdar' shahr mein khushk hain sab aashiyaan aur bijliyaan koi nahin"
Safdar HamadaniSafdar Hamadani
Quote
"le tiri aavaaz ko qaid-e-samaaat kar liyaa haan ghazal ke ruup ko aks-e-tabaaat kar liyaa bhigti is shaam mein us ne pukaaraa hai mujhe lag rahaa hai jis tarah hajj-e-mohabbat kar liyaa sochtaa huun us se puchhun jaan-e-'safdar' kis liye aam se ik aadmi ko apni aadat kar liyaa aaj phir shaanon pe bikhri zulf hai allaah khair lag rahaa hai aaj phir ahd-e-baghaavat kar liyaa raat-din rahtaa hai us ko apni chaahat kaa khayaal us ne khud ko is tarah vaqf-e-ibaadat kar liyaa kar liyaa hai shab ki tanhaai mein milne kaa khayaal muskuraahaT ko tiri radd-e-adaavat kar liyaa is kitaab-e-ishq ki takmil 'safdar' ho gai us ne barson baad izhaar-e-mohabbat kar liyaa"
Safdar HamadaniSafdar Hamadani
Quote
"haasil davaam kab hai bhalaa ab davaam ko ham ki taraste rahte hain un ke salaam ko nilaam ho rahaa hai adab bhi adiib bhi phailaaein shahr shahr mein ab is payaam ko talvaar kaa vajud hai talvaar-zan ke saath meaar mat banaaiye khaali niyaam ko be-shak ye baune ghaalib-e-dauraan kahein tumhein main jaantaa huun khuub tumhaare maqaam ko pahunchi hai ab zamir-faroshi uruuj par ji chaahtaa hai aag lagaa duun kalaam ko mufti adab ke diin ke mufti se kab alag kaise halaal karne lage hain haraam ko aari jo adl se ho adaalat se duur ho dozakh rasid kijiye aise imaam ko eazaaz ab adab kaa nahin chaahiye mujhe rakhiye muaaf bahr-e-khudaa is ghulaam ko ab naam par adab ke tijaarat adab ki hai 'safdar' havaa na dijiyegaa intiqaam ko"
Safdar HamadaniSafdar Hamadani
Quote
"ji rahaa huun vasvason ke darmiyaan dam-kashida saaaton ke darmiyaan baa-amal dekhe hain kitne tang-dast be-amal in vaaizon ke darmiyaan be-samar hi ab shajar kumhlaaegaa shak ugaa hai chaahaton ke darmiyaan main ne hikmat se nikaalaa hai janaab ek rasta raaston ke darmiyaan mujh ko deti hai sadaaein raat-din ek vahshat saahilon ke darmiyaan daad mere hausle ki dijiye rah rahaa huun kufiyon ke darmiyaan doston ke saath 'safdar' is tarah jaise kaafir mominon ke darmiyaan"
Safdar HamadaniSafdar Hamadani
Quote
"tabdiliyaan hain umr ke jaane ke saath saath naaraazgi baDhi hai manaane ke saath saath nafrat munaafiqat se rahi mujh ko umr bhar main chal sakaa nahin huun zamaane ke saath saath meri musibatein bhi gavaaraa nahin use mujh ko rulaa rahaa hai hansaane ke saath saath dil mein sulag rahi hain duaaon ki mashalein lab hil rahe hain haath uThaane ke saath saath us ki har ek baat to yaksar nahin ghalat hain kuchh haqiqatein bhi bahaane ke saath saath main aashnaa huun us ke mizaaj-o-khayaal se yaad aaungaa use main bhulaane ke saath saath 'safdar' ajiib lagti hai basti basi hui aatish-fishaan ke surkh dahaane ke saath saath"
Safdar HamadaniSafdar Hamadani
Quote
"sab darakht khaali hain baarishon ke mausam mein saare ghar muqaffal hain vasvason ke mausam mein aandhiyon ki baarish mein sab charaagh zinda hain jaagtaa hai yazdaan bhi rat-jagon ke mausam mein aap se shikaayat kyaa aap se gila kaisaa phir rahaa huun khud tanhaa saazishon ke mausam mein jaagte darakhton ki shaakh shaakh khaali hai koi phal ugegaa to khvaahishon ke mausam mein abr kaa koi TukDaa shahr bhar savaali hai aankh khushk dariyaa hai aansuon ke mausam mein bas isi tajassus mein raat kaa safar guzraa kaun hai jo rotaa hai chaahaton ke mausam mein ik sukut taari hai har sadaa ke chehre par paa-barahna lamhe hain saaaton ke mausam mein"
Safdar HamadaniSafdar Hamadani
Quote
"mar jaaeinge jab ham nauhe likkheinge haakim maut hamaari dekhnaa becheinge khushk aankhon ko dekh na lein kahin zaalim log aankhon pe rumaal ko rakh kar roeinge koi na hogaa sunne vaalaa basti mein kutte shahr ke unche sur mein bhaunkeinge jo bhi adaalat adl kare is mausam mein us ko aag lagaa ke duur se dekheinge haakim ab sailaab mein marne vaalon kaa j i T se fursat ho to socheinge apne ghar ke log nahin pahchaaneinge khvaabon ko ham jab dafnaa kar lauTeinge log to shaayad paani mein hi bah jaaeinge 'safdar' saahab saanp gharon se nikleinge"
Safdar HamadaniSafdar Hamadani