SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals bySahir Bhopali(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"phir un ko arz-e-gham pe hansi aa rahi hai aaj duniyaa mire sukun ki luTi jaa rahi hai aaj zabt-e-havas ki khair ho kyon taba-e-naa-muraad phir vaz-e-ehtiyaat se ghabraa rahi hai aaj banda-navaaziyon ki khalish taba-e-naaz ko phir khidmat-e-niyaaz pe uksaa rahi hai aaj allah re roab-e-husn ki bazm-e-nashaat mein har shai lab-e-khamosh bani jaa rahi hai aaj us paikar-e-shabaab ki nakhvat-bhari nazar har daavaa-e-sabaat ko Thukraa rahi hai aaj 'saahir' na jaane kyaa ho ab anjaam-e-zabt-e-shauq phir yaad un ki dard ko taDpaa rahi hai aaj"
Sahir BhopaliSahir Bhopali
Quote
"jhalaktaa hai gham meri har ik khushi se shikaayat hai mujh ko tiri be-rukhi se main apne taiin mar chukaa thaa kabhi kaa magar ji rahaa huun tumhaari khushi se khushi mein mazaa hai na ab gham mein lazzat ye kaanTaa nikaalo dil-e-zindagi se vo aur honge jin ko hai chaahat kaa armaan mujhe pyaar hai aap ki dushmani se kahaan tak jiyun aasare par karam ke main baaz aaya bas aap ki dosti se miTi har tarah jaan 'saahir' ki lekin tiraa gham na bahlaa gham-e-zindagi se"
Sahir BhopaliSahir Bhopali
Quote
"dhaDkaa hai raah-e-gham mein miraa dil jagah-jagah daavaa huaa hai zabt kaa baatil jagah-jagah khoyaa gayaa huun raah-e-vafaa mein kuchh is tarah phirti hai DhunDhti mujhe manzil jagah-jagah bas ik nigaah-e-lutf ki hasrat liye hue phirtaa huun ban ke husn kaa saail jagah-jagah tufaan-e-bahr-e-gham mein yunhi Dub-Dub kar paidaa kiye hain ishq ne saahil jagah-jagah jiite bane hai gham mein na marte bane hai ab darpesh hai bas ik yahi mushkil jagah-jagah rang-e-shafaq ye taabish-e-anjum ye bu-e-gul hai khun-e-aarzu miraa shaamil jagah-jagah dekhe to kaise husn-e-haqiqat-nishaan ko aankh parde hain ehtiyaat ke haail jagah-jagah hai zarra-zarra khaak kaa ik hashr darkinaar irfaan-e-gham huaa mujhe haasil jagah-jagah aalam vo shauq kaa hai ki rukte nahin qadam maanaa ki gham hai dil se muqaabil jagah-jagah is justuju-e-husn ne aavaara kar diyaa phirtaa hai mujh ko le ke miraa dil jagah-jagah 'saahir' mujhe malaal kisi se ho kis liye mere sukhan ke aaj hain qaail jagah-jagah"
Sahir BhopaliSahir Bhopali
Quote
"aziiz kyon na ho phir gham tiraa khushi ki tarah ki ikhtiyaar bhi meraa hai be-kasi ki tarah khudaa ke vaaste mat toD aasraa dil kaa ki main ne Daali hai mar-mar ke zindagi ki tarah vo jis ko khilne se pahle hi toD le koi tiri misaal hai ai dost us kali ki tarah tumhaari kaun adaa par karun yaqin ki tum kabhi kisi ki tarah ho kabhi kisi ki tarah nigaah-e-naaz mein us bakhshish-o-karam ke nisaar ki tu ne hosh bhi bakhshaa to be-khudi ki tarah na kyon ho naaz tabaahi-e-dil pe ai 'saahir' ki mujh ko Daalnaa hai miT ke zindagi ki tarah"
Sahir BhopaliSahir Bhopali
Quote
"ik bevafaa ko khugar-e-jaur-o-jafaa kiyaa izhaar-e-shauq us se kiyaa haae kyaa kiyaa raah-e-vafaa ki sakhtiyaan ai ham-nashin na puchh marmar ke main ne haqq-e-mohabbat adaa kiyaa kab tak main sahtaa aap ki ye kam-nigaahiyaan ki main ne tark-e-aarzu to kyaa buraa kiyaa pahle sikhaae nazron ko aadaab-e-bandagi phir un ke paa-e-naaz pe sajda adaa kiyaa meri hansi zamaana uDaataa na thi majaal vahshat mein apne haal pe main khud hansaa kiyaa kyaa kyaa diye hain taane gham-e-dil ne is ghaDi bhule se us ne jab koi vaada vafaa kiyaa 'saahir' bas is qadar hai tabaahi kaa maajraa vo be-khabar bane rahe aur main miTaa kiyaa"
Sahir BhopaliSahir Bhopali
Quote
"mujhe mile bhi to kyunkar mile khabar meri ki main vahaan huun jahaan khud nahin guzar meri sanbhaalnaa unhein aape kaa ho gayaa mushkil paDi jab un pe mohabbat bhari nazar meri nazar milaate bhi Dartaa huun us se ab ki kahin fughaan-e-dard na ho jaae be-asar meri kisi ke husn ke jalvon mein kho gayaa huun main khudaa ke vaaste laa de koi khabar meri na jaane kab se su-e-baam tak rahaa thaa main vo aae saamne ko jhuk gai nazar meri mazaa to jab hai ki nazron hi se samajh lein vo ki arz-e-shauq mein zillat hai sar-basar meri guzar bhi jaae guzarnaa hai jo bhi ai 'saahir' ki aas toDi hai zaalim ne jaan kar meri"
Sahir BhopaliSahir Bhopali
Quote
"jalvon se mire hosh uDaane mein lage hain vo phir mujhe divaana banaane mein lage hain mar-mar ke kiye jaate hain ham yaad unhein yaan aur vo hamein vaan dil se bhulaane mein lage hain vo aae kare kaun paziraai ab un ki armaan to yahaan dhuum machaane mein lage hain phir dasht-e-talab aaj hai bebaaki pe maail vo daaman-e-naaz apnaa chhuDaane mein lage hain main huun ki miTaa jaataa huun har baat pe un ki aur vo hain ki dil meraa dukhaane mein lage hain 'saahir' jinhein main ne diyaa mahbubi kaa rutba vo naam-o-nishaan meraa miTaane mein lage hain"
Sahir BhopaliSahir Bhopali
Quote
"na jis mein haadse gham ke hon zindagi ke liye vo zindagi to musibat hai aadmi ke liye o be-niyaaz mire kuchh khabar bhi hai tujh ko miTaa rahaa huun main khud ko tiri khushi ke liye havas-parast nahin banda-e-khulus huun main jo meraa apnaa ho main bhi huun bas usi ke liye khudaa ki den hai vo jis ko daulat-e-gham de ki faiz-e-ishq nahin hai ye har kisi ke liye bas ik nigaah-e-tamannaa-navaaz ho jaae taras gayaa huun mohabbat ki zindagi ke liye zahe nasib ki aai to un ke honTon par tamaam umr main royaa thaa jis hansi ke liye ye apnaa apnaa muqaddar hai apnaa apnaa nasib ki gham kisi ke liye hai khushi kisi ke liye kahaan vo lazzat-e-paiham ki ab to zaalim ne uThaa rakhi hain jafaaein kabhi kabhi ke liye rakhaa na vahshat-e-dil ne kahin kaa ai 'saahir' na koi mere liye hai na main kisi ke liye"
Sahir BhopaliSahir Bhopali