SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byShuja Khaavar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jo tum se pahle aae the un ki kaaristaani dekho gaanv se nikle ho to ab shahron ki viraani dekho sote mein marne kaa mauqaa mil jaataa hai sab logon ko phir bhi zinda uTh jaate hain logon ki naadaani dekho rokoge to phaT jaaungaa yaaro tum bas itnaa karnaa kuchh mat kahnaa mujh se jab meri aankhon mein paani dekho saaton aalam sar karne ke baad ik din ki chhuTTi le kar ghar mein chiDiyon ke gaane par bachchon ki hairaani dekho itne firaunon ko maaroge to kyaa tum bach jaaoge musaa-ji ye ghussa chhoDo aur apni aasaani dekho"
Shuja KhaavarShuja Khaavar
Quote
"takalluf chhoD kar mere baraabar baiTh jaaegaa tasavvur mein abhi vo paas aa kar baiTh jaaegaa dar-o-divaar par itnaa paDaa hai saare din paani agar kal dhuup bhi niklegi to ghar baiTh jaaegaa aDegaa khud to laaegaa khabar saat aasmaanon ki uDaayaa to parinda chhat ke uupar baiTh jaaegaa na manzil ko pataa hogaa na raston ko khabar hogi musaafir ek din aaraam se ghar baiTh jaaegaa khayaal achchhaa huaa to sher ban kar aaegaa baahar bahut achchhaa huaa to dil ke andar baiTh jaaegaa"
Shuja KhaavarShuja Khaavar
Quote
"pahle huaa jo karte the ham vo nahin rahe dekho shab-e-firaaq hai aur ro nahin rahe aisi bhi ro rahe hain unhein jo nahin rahe pahle se moajize to kahin ho nahin rahe yaaro dikhaao phir koi aisaa hunar ki bas ghairon ki koi fikr hi ham ko nahin rahe ashaar se ayaan hain to ashaar mat paDho ham dil ke daagh tum ko dikhaa to nahin rahe tadbir bhi hai jaan bhi hai maslahat bhi hai rahnaa na thaa bas ek hamein so nahin rahe ham ghair aur vo sabhi apni jagah pe hain bas yuun kaho miyaan ki ghazal-go nahin rahe"
Shuja KhaavarShuja Khaavar
Quote
"us bevafaa kaa shahr hai aur vaqt-e-shaam hai aise mein aarzu baDi himmat kaa kaam hai ham ko bhi chhoDtaa huaa aage nikal gayaa jazbon kaa qaafila bhi baDaa tez-gaam hai be-aarzu bhi khush hain zamaane mein baaz log yaan aarzu ke saath bhi jiinaa haraam hai lafzon ki jaan chhoD de mafhum ko pakaD varna ye sab mu'aamla tajnis-e-taam hai tauba ke silsile mein bas itnaa kaheinge ham maslak ho baada-noshi to tauba haraam hai aankhon kaa hai khayaal ki daanaa hai daam mein aur fikr kah rahi hai ki daane mein daam hai naqqaad tum ko puchhte aae the kal 'shujaa' kahte the shaa'iron mein tumhaaraa bhi naam hai"
Shuja KhaavarShuja Khaavar
Quote
"yahaan to qaafile bhar ko akelaa chhoD dete hain sabhi chalte hon jis par ham vo rasta chhoD dete hain qalam mein zor jitnaa hai judaai ki badaulat hai milan ke baad likhne vaale likhnaa chhoD dete hain kabhi sairaab kar jaataa hai ham ko abr kaa manzar kabhi saavan baras kar bhi piyaasaa chhoD dete hain zamin ke masalon kaa hal agar yuun hi nikaltaa hai to lo ji aaj se ham tum se milnaa chhoD dete hain mohazzab dost aakhir ham se barham kyuun nahin honge sag-e-izhaar ko ham bhi to khullaa chhoD dete hain jo zinda ho use to maar dete hain jahaan vaale jo marnaa chaahtaa ho us ko zinda chhoD dete hain mukammal khud to ho jaate hain sab kirdaar aakhir mein magar kam-bakht qaari ko adhuraa chhoD dete hain vo nang-e-aadmiyat hi sahi par ye bataa ai dil puraane doston ko is tarah kyaa chhoD dete hain ye duniyaa-daari aur irfaan kaa daavaa 'shujaa-khaavar' miyaan irfaan ho jaae to duniyaa chhoD dete hain"
Shuja KhaavarShuja Khaavar
Quote
"us ko na khayaal aae to ham munh se kahein kyaa vo bhi to mile ham se hamin us se milein kyaa lashkar ko bachaaeingi ye do-chaar safein kyaa aur un mein bhi har shakhs ye kahtaa hai hamein kyaa ye to sabhi kahte hain koi fikr na karnaa ye koi bataataa nahin ham ko ki karein kyaa ghar se to chale aate hain baazaar ki jaanib baazaar mein ye sochte phirte hain ki lein kyaa aankhon ko kiye band paDe rahte hain ham log is par bhi to khvaabon se hain mahrum karein kyaa do chaar nahin sainkaDon sher us pe kahe hain is par bhi vo samjhe na to qadmon pe jhukein kyaa jismaani taalluq pe ye sharmindagi kaisi aapas mein badan kuchh bhi karein is se hamein kyaa khvaabon se bhi milte nahin haalaat ke Dar se maathe se baDi ho gaiin yaaro shikanein kyaa"
Shuja KhaavarShuja Khaavar
Quote
"samajhte kyaa hain in do chaar rangon ko udhar vaale tarang aai to manzar hi badal deinge nazar vaale isi par khush hain ki ik dusre ke saath rahte hain abhi tanhaai kaa matlab nahin samjhe hain ghar vaale sitam ke vaar hain to kyaa qalam ke dhaar bhi to hain guzaara khuub kar lete hain izzat se hunar vaale koi surat nikalti hi nahin hai baat hone ki vahaan zoam-e-khudaa-vandi yahaan jazbe bashar vaale mafaailun kaa paimaana bahut hi tang hotaa hai jabhi to sher ham kahte nahin hain dil jigar vaale gharon mein the to vusat dasht ki ham ko bulaati thi magar ab dasht mein aae to yaad aate hain ghar vaale jo mustaqbil se pur-ummid ho vo shaaer-e-mutlaq 'shujaa-khaavar' se apni fikr ki islaah karvaa le"
Shuja KhaavarShuja Khaavar