SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byWafa Naqvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"yaadon se mahakti hui is raat mein kyaa hai ye raaz khulaa aaj ki jazbaat mein kyaa hai ik tujh se hi ummid lagaa rakkhi hai varna ye mujh ko khabar hai ki miri zaat mein kyaa hai ye kah ke parindon ne bhari aaj uDaanein shahron ki taraf chalte hain dehaat mein kyaa hai yuun ghaur se haathon ki lakirein na paDhaa kar bigDeinge sanvar jaaeinge haalaat mein kyaa hai khinchte hi chale aate hain dil shahr-e-havas mein jaadu tiri aankhon mein tiri baat mein kyaa hai pahle to darakhton se nikalti thiin karaahein is baar zaraa dekhiye barsaat mein kyaa hai"
Wafa NaqviWafa Naqvi
Quote
"bahte hue dariyaa ke kinaaron ki tarah thaa tujh se miraa rishta kabhi khvaabon ki tarah thaa bistar pe utar aai thiin mahtaab ki kirnein lahja tiraa kal raat ujaalon ki tarah thaa main us ko paDhaa kartaa thaa har raat bahut der vo shakhs mire paas kitaabon ki tarah thaa kyaa lams thaa kyaa zulf thi kyaa surkhi-e-lab thi har rang tiraa jaise sharaabon ki tarah thaa kuchh der ko khush kar ke chale saare jahaan ko kyaa apnaa taalluq bhi tamaashon ki tarah thaa duniyaa ne bahut chaahaa ki naam us kaa bataa duun vo dafn thaa mujh mein mire raazon ki tarah thaa khone nahin detaa thaa mujhe bhiiD mein ehsaas jakDe hue mujh ko tiri baanhon ki tarah thaa"
Wafa NaqviWafa Naqvi
Quote
"ye Thiik hai vo ham ko mayassar nahin huaa lekin kahaan kahaan vo munavvar nahin huaa lauTaa jo shaam ko to koi muntazir na thaa is baar be-qaraar miraa ghar nahin huaa kyaa jaane kab utarne lage vo dimaagh par koi junun kaa vaqt muqarrar nahin huaa sab jitne ki zid pe yahaan haarne lage sadiyon se koi shakhs sikandar nahin huaa baazu to kaT ke juD gae meri hayaat se lekin abhi nasib mujhe sar nahin huaa phal toD letaa aaj main apni hayaat kaa achchhaa huaa ki haath mein patthar nahin huaa sahraa se laakhon baar nichoDi gai hai pyaas phir bhi samundaron kaa galaa tar nahin huaa"
Wafa NaqviWafa Naqvi
Quote
"us kaa koi mujhe pata hi nahin vo mire shahr mein rahaa hi nahin us ki aankhein ajiib aankhein thiin khvaab jin mein kabhi sajaa hi nahin teraa inkaar kyaa qayaamat hai log kahne lage khudaa hi nahin vo khayaalon mein ghar mein rahtaa hai vo safar par kabhi gayaa hi nahin umr bhar teraa zikr karnaa hai ek din kaa ye silsila hi nahin chaand shab bhar udaas rahtaa hai vo dariche se jhaanktaa hi nahin faasla kuchh na kuchh rakhaa us ne TuuT kar vo kabhi milaa hi nahin"
Wafa NaqviWafa Naqvi
Quote
"khaak hoti hui taamir se Dar jaate hain ham badalti hui tasvir se Dar jaate hain raat ko chain se sote hain magar vaqt-e-sahar khvaab ke vaada-e-taabir se Dar jaate hain vo siyaahi se likhi hoti hai khuun se to nahin phir bhi kyuun aap ki tahrir se Dar jaate hain DhunDte phirte hain saDkon pe ujaale lekin ghar mein aati hui tanvir se Dar jaate hain aap to nahr kinaare pe kiye hain qabza aap kyuun pyaas ke ik tiir se Dar jaate hain raqs karte hue mahlon ki fasilon pe charaagh aap ki di hui tauqir se Dar jaate hain"
Wafa NaqviWafa Naqvi
Quote
"ravaana vo bhi huaa hai nae safar ke liye talaash karni hai roTi mujhe bhi ghar ke liye dikhaai detaa hai suraj bhi kuchh pareshaan saa udaas main hi nahin huun kisi shajar ke liye safar pe jaaun main asbaab aur kyaa le kar ki teri yaad hi kaafi hai rahguzar ke liye bichhaDte vaqt udaasi kaa rang thaa jin par nazar ne bose bahut aise baam-o-dar ke liye ghubaar kab hai khulaa hai rafaaqaton kaa gulaab huaa nahin hai koi khat hai be-khabar ke liye madina chhoDaa to kuufa huaa nasib hamein ki hijratein hi milin ham ko umr-bhar ke liye sipaah-e-shaam hamein aaftaab kahti hai bulandiyaan hain sinaan ki hamaare sar ke liye"
Wafa NaqviWafa Naqvi
Quote
"vo dariyaa hai koi sahraa nahin hai magar pur-josh bhi lagtaa nahin hai tujhe teraa samundar ho mubaarak hamaari pyaas se achchhaa nahin hai vahi baarish kaa charchaa kar rahe hain badan jin kaa kabhi bhigaa nahin hai kabhi dekhaa nahin hai ham ne varna zamin ki vusaton mein kyaa nahin hai abhi se aa gai hai raat milne abhi to chaand bhi niklaa nahin hai nigaahein tak rahi hain ghonsle ki parinda lauT kar aayaa nahin hai main rukne ke liye aayaa thaa ghar mein kisi ne kyuun mujhe rokaa nahin hai kahaan asraar apne paa sakegaa abhi khud mein koi bhaTkaa nahin hai sabhi kirdaar achchhe lag rahein hain kahaani mein koi sachchaa nahin hai mah-e-kanaan hai ahd-e-naa-rasaai abhi baazaar tak pahunchaa nahin hai zamin par zor hai jaadugaron kaa asaa-e-hazrat-e-musaa nahin hai samundar to mathe jaati hai duniyaa koi bhi vish magar piitaa nahin hai"
Wafa NaqviWafa Naqvi
Quote
"baDi udaas hain shaamein tire visaal ke baad ki zakhm phir se ubhar aae indimaal ke baad tumhaari baat hi taslim ki bahar-surat zamaane bhar ke dimaaghon ne qil-o-qaal ke baad kahaan huun kaun huun kaisaa huun main kahaan kaa huun koi khayaal na aayaa tire khayaal ke baad hui nasib na izzat hayaat mein jis ko sajaa huaa thaa vahi ghar mein intiqaal ke baad bhulaa sakegi na suraj ki daastaan zamin gayaa hai khema-e-shab mein vo kis kamaal ke baad khamoshiyon ki zabaanein hain surkh aankhon mein ajiib tarz-e-takallum hai ik savaal ke baad"
Wafa NaqviWafa Naqvi