Quote
"thi alag raah magar tark mohabbat nahin ki us ne bhi sochaa bahut ham ne bhi ujlat nahin ki tu ne jo dard ki daulat hamein di thi us mein kuchh izaafa hi kiyaa ham ne khayaanat nahin ki zaaviya kyaa hai jo kartaa hai tujhe sab se alag kyuun tire baad kisi aur ki hasrat nahin ki aae aur aa ke chale bhi gae kyaa kyaa mausam tum ne darvaaza hi vaa karne ki himmat nahin ki apne atvaar mein kitnaa baDaa shaatir hogaa zindagi tujh se kabhi jis ne shikaayat nahin ki ek ik saans kaa apne se liyaa sakht hisaab ham bhi kyaa the kabhi khud se bhi muravvat nahin ki"







