SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byZulfiqar Zaki(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ghaDi ki suiyaan Tik-Tik sunaa rahi hain mujhe guzarte vaqt se shaayad Daraa rahi hain mujhe tire bayaan ko lafzon ki kyaa zarurat hai ki ye khamoshiyaan sab kuchh bataa rahi hain mujhe to kyaa huaa jo tiraa pyaar mil nahin paayaa tiri ye nafratein bhi raas aa rahi hain mujhe havaa ki shokhiyaan batlaa rahi hain teraa pata hasin titliyaan rasta dikhaa rahi hain mujhe shab-e-firaaq mire ham-navaa tiri yaadein ghamon ki taal pe har dam nachaa rahi hain mujhe koi to ho jo mujhe rok le sadaa de kar miri ye hasratein har jaa ghumaa rahi hain mujhe 'zaki' ye raah ke patthar bhi mere rahbar hain ki in ki Thokarein chalnaa sikhaa rahi hain mujhe"
Zulfiqar ZakiZulfiqar Zaki
Quote
"mire raqib se hans kar kalaam karte hue guzar gayaa hai vo mujh ko salaam karte hue ajab ki Dubne vaalaa to mutmain hai magar Daraa huaa hai samundar ye kaam karte hue vo jis ke saamne saste mein rakh diyaa khud ko ulajh paDaa hai vo gaahak bhi daam karte hue mire vajud pe qaabiz huaa vo pal bhar mein nazar ki tegh se dil ko ghulaam karte hue bache-kuchhe se ye pal bhi guzar hi jaaeinge kisi ki yaad mein saahil pe shaam karte hue qasam khudaa ki ye girya na dekh paaungaa khushi se jaaiye rishta tamaam karte hue 'zaki' ye pyaar hi pahchaan ban gayaa meri main khaas ho gayaa ulfat ko aam karte hue"
Zulfiqar ZakiZulfiqar Zaki
Quote
"zaraa si der ko aataa hai lauT jaataa hai milan ki aas jagaataa hai lauT jaataa hai mariz-e-ishq ko de kar vo pyaar kaa nuskha khalish ko aur baDhaataa hai lauT jaataa hai vo ek baar bhi suntaa nahin miri arzi bas apni baat sunaataa hai lauT jaataa hai jhagaD ke niind mein aksar vo be-sabab mujh ko darun-e-khvaab rulaataa hai lauT jaataa hai vo ishq ban ke utartaa hai mere aangan mein vafaa ke diip jalaataa hai lauT jaataa hai dam-e-firaaq vo letaa hai pyaar ki qasmein sunahre khvaab dikhaataa hai lauT jaataa hai 'zaki' ye kaun hai jo roz meri turbat par yuun aa ke ashk bahaataa hai lauT jaataa hai"
Zulfiqar ZakiZulfiqar Zaki
Quote
"suraj se kuchh kirnein le kar apnaa kaam chalaataa hai jaane phir kyaa baat hai jis par chaand bahut itraataa hai us ke saath guzaaraa maazi ab tak tanhaa raaton mein yaadon ki saughaatein le kar mujh se milne aataa hai aksar khvaab mein dikhne vaale ek puraane manzar mein ik jaanaa pahchaanaa chehra duur khaDaa muskaata hai har gosha hai mahkaa-mahkaa us ki saundhi khushbu se lagtaa hai vo in galiyon mein ab tak aataa jaataa hai june ki tapti shaamon mein jab baarish khuub barasti hai bhigi shaakh pe baiThaa panchhi miThe giit sunaataa hai hijr ki lambi qaid nibhaataa ik divaana roz-o-shab divaaron se baatein kar ke apnaa ji bahlaataa hai soch rahaa huun apnaa hai yaa phir koi begaana hai vo ik fard 'zaki' jo mujh par itnaa haq jatlaataa hai"
Zulfiqar ZakiZulfiqar Zaki
Quote
"kal tak jo mere yaar thaa baaqi nahin rahaa tujh par jo e'tibaar thaa baaqi nahin rahaa jhaTkaa yuun us ne haath ki aankhein hi khol diin barson kaa jo khumaar thaa baaqi nahin rahaa phir yuun huaa ki donon ke raste badal gae donon mein jo qaraar thaa baaqi nahin rahaa ashkon ki ik phuvaar ne sab kuchh hi dho diyaa dil mein jo ik ghubaar thaa baaqi nahin rahaa siine pe kis tabib ne rakhaa hai apnaa haath jo dard be-shumaar thaa baaqi nahin rahaa yaaraa tire firaaq ne saaraa chukaa diyaa sangat kaa jo udhaar thaa baaqi nahin rahaa us ne 'zaki' yuun pyaar se dekhaa ki phir miraa khud par jo ikhtiyaar thaa baaqi nahin rahaa"
Zulfiqar ZakiZulfiqar Zaki
Quote
"ajab sukut saa taari hai dil ke khaanon mein ki dhaDkanein bhi miri gunjti hain kaanon mein zaraa si tirgi dekhein jo aasmaanon mein tuyur lauTne lagte hain aashiyaanon mein ik ek kar ke sabhi kuuch karte jaate hain koi paret hai kyaa shahr ke makaanon mein vo jin mein dekhne se dil kaa haal dikh jaae koi vo aaine rakh de nigaar khaanon mein darun-e-dil jo tiri yaad ke dafine hain bahut se qimti moti hain in khazaanon mein sukhan ke shahr mein kuchh bhi nayaa nahin aayaa puraanaa maal hi biktaa hai sab dukaanon mein kisi bhi haal mein us ko manaa ke le aauun palaT sakun jo main guzre hue zamaanon mein gulaab suukh ke shaakhon se jhaD gae kab ke ye chand khaar hi baaqi hain phul-daanon mein kabhi jo pyaar mohabbat ki baat niklegi hamaaraa naam bhi aaegaa daastaanon mein vo jis mein jaan se baDh kar thi yaar ki izzat 'zaki' vo aashiqi milti hai ab fasaanon mein"
Zulfiqar ZakiZulfiqar Zaki
Quote
"jab raat sanvarti hai lamhon ki ravaani mein ik chaand utartaa hai tab jhiil ke paani mein is aakhiri paare mein go zikr nahin varna aaghaaz mein ai logo main bhi thaa kahaani mein chehre pe buzurgi ke asaraat bataate hain ik saaneha tujh par bhi guzraa hai javaani mein dikhne mein ba-zaahir to ik aam saa paudaa hai kuchh khaas to hai lekin us raat ki raani mein kal raat jo yaadon ke hamraah nazar Daali kuchh rang nae dekhe tasvir puraani mein har ek khushi main ne saughaat use kar di par us ne diyaa mujh ko bas dard nishaani mein is shahr kaa har baasi naalaan hai 'zaki' mujh se ab to hai baqaa apni bas naql-e-makaani mein"
Zulfiqar ZakiZulfiqar Zaki
Quote
"kitnon ne jaan vaar di hirni si chaal par kitne hi log mar miTe us khush-khisaal par mujh ko khabar mili hai ki pariyon ke des mein hote hain roz tabsire us ke jamaal par main bhi savaal puchh ke khaamosh ho gayaa us ne bhi chup hi saadh li mere savaal par bhanvraa kisi gulaab ko chhutaa hai jis tarah rakhtaa huun apne honT yuun dilbar ke gaal par kis ke zaraa se zikr pe saansein mahak uThin chehre ke rang khil uThe kis ke khayaal par paDhte hain log aaj bhi ulfat ki daastaan likhte hain log aaj bhi hijr-o-visaal par chhaani hain us ne jaa-ba-jaa sahraa ki pastiyaan pahunchaa hai ishq phir kahin auj-e-kamaal par haaraa huun is dileri se laDtaa huaa 'zaki' dushman bhi pur-malaal hai mere zavaal par"
Zulfiqar ZakiZulfiqar Zaki
Quote
"ab tak isi khayaal mein uljhaa huaa huun main apne badal gae hain ki badlaa huaa huun main divaar-o-dar ko dekh ke lagtaa hai dilbaraa teri gali se pahle bhi guzraa huaa huun main bikhre hue se baal hain daaman hai taar taar puuri tarah se hijr mein sanvaraa huaa huun main shaayad ki ek roz vo aa kar sameT le muddat se ku-e-yaar mein bikhraa huaa huun main baada-kashi ke baa'd to aayaa huun hosh mein duniyaa samajh rahi hai ki bahkaa huaa huun main yaa-rab ye zindagaani mein kaisaa jumud hai Thahraa huaa hai vaqt yaa Thahraa huaa huun main aayaa huun apne shahr to lagtaa hai yuun 'zaki' jaise ki ek dasht mein bhaTkaa huaa huun main"
Zulfiqar ZakiZulfiqar Zaki
Quote
"mire suune ujDe dayaar mein kabhi do ghaDi hi qayaam kar ho jo dil to us mein sukun le tiraa ji kare to khiraam kar main tamaam umr guzaar duun jise sochte jise chaahte tu jo kar sake mire ham-navaa to vo ek pal mire naam kar mujhe apne dil kaa vo raaz de jo khushi se mujh ko navaaz de vo jo mujh mein ruuh si phunk de kisi roz aisaa kalaam kar miri dhaDkanon kaa ye silsila tire pyaar se hai ravaan-davaan tu jo chaahe is ko davaam de jo nahin to is ko tamaam kar sar-e-shaam mujh se tu mil vahaan jahaan ujlaton kaa na ho nishaan kahin duur tak yuun hi saath chal miraa haath haath mein thaam kar tiri chaahaton kaa faqir huun mujhe qurbaton ki niyaaz de zaraa paas aa ke tu mil mujhe yunhi duur se na salaam kar koi kaam karnaa hai gar 'zaki' to ye kaam kar mire dostaa kahin nafraton ko na jaa mile tu mohabbaton ko yuun aam kar"
Zulfiqar ZakiZulfiqar Zaki