Quote
"apnon ke sitam yaad na ghairon ki jafaa yaad vo hans ke zaraa bole to kuchh bhi na rahaa yaad kyaa lutf uThaaegaa jahaan-e-guzaraan kaa vo shakhs ki jis shakhs ko rahti ho qazaa yaad ham kaag uDaa dete hain botal kaa usi vaqt garmi mein bhi aa jaati hai jab kaali ghaTaa yaad mahshar mein bhi ham teri shikaayat na kareinge aa jaaegi us din bhi hamein shart-e-vafaa yaad pi li to khudaa ek tamaashaa nazar aayaa aayaa bhi to aayaa hamein kis vaqt khudaa yaad allaah tiraa shukr ki ummid-e-karam hai allaah tiraa shukr ki us ne bhi kiyaa yaad kal tak tire baais main use bhulaa huaa thaa kyuun aane lagaa phir se mujhe aaj khudaa yaad"
