Shayari
barq o simaab kaa 'aaghaa' na rahe naam-o-nishaan
dil ki betaabi se ik baar jo muztar main huun
A
Aagha Akbarabadisharaab piite hain to jaagte hain saari raat
mudaam aabid-e-shab-zinda-daar ham bhi hain
شراب پیتے ہیں تو جاگتے ہیں ساری رات
مدام عابد شب زندہ دار ہم بھی ہیں
शराब पीते हैं तो जागते हैं सारी रात
मुदाम आबिद-ए-शब-ज़िंदादार हम भी हैं
barq o simaab kaa 'aaghaa' na rahe naam-o-nishaan
dil ki betaabi se ik baar jo muztar main huun
haath donon miri gardan mein hamaail kiije
aur ghairon ko dikhaa diije anguThaa apnaa
tavaaf-e-kaaba ko kyaa jaaein haj nahin vaajib
kalaal-khaane ke kuchh din-daar ham bhi hain
do-shaala shaal kashmiri amiron ko mubaarak ho
galim-e-kohna mein jaaDaa faqiron kaa basar hogaa
vaada-e-baada-e-athar kaa bharosa kab tak
chal ke bhaTTi pe piyein jura-e-irfaan kaisaa
hamein to un ki mohabbat hai koi kuchh samjhe
hamaare saath mohabbat unhein nahin to nahin
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
kahun ai zauq kyaa haal-e-shab-e-hijr
ki thi ik ik ghaDi sau sau mahine
us ko aanaa thaa ki vo mujh ko bulaataa thaa kahin
raat bhar baarish thi us kaa raat bhar paighaam thaa
rok do ye raushni ki tez dhaar
meri miTTi mein gundhi hai raat bhi
dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti
khairaat mein itni baDi daulat nahin milti