Shayari
kyaa karun khilat o dastaar ki khvaahish ki mujhe
ziist karne kaa saliqa bhi ziyaan se aayaa
khauf aisaa hai ki duniyaa ke sataae hue log
kabhi mimbar kabhi mehraab se Dar jaate hain
خوف ایسا ہے کہ دنیا کے ستائے ہوئے لوگ
کبھی منبر کبھی محراب سے ڈر جاتے ہیں
ख़ौफ़ ऐसा है कि दुनिया के सताए हुए लोग
कभी मिम्बर कभी मेहराब से डर जाते हैं

kyaa karun khilat o dastaar ki khvaahish ki mujhe
ziist karne kaa saliqa bhi ziyaan se aayaa
vo habs thaa ki tarasti thi saans lene ko
so ruuh taaza hui jism se nikalte hi
talab karein to ye aankhein bhi in ko de duun main
magar ye log in aankhon ke khvaab maangte hain
ajiib turfa-tamaashaa hai mere ahd ke log
savaal karne se pahle javaab maangte hain
bahut aziiz thi ye zindagi magar ham log
kabhi kabhi to kisi aarzu mein mar bhi gae
tamaam umr ki be-taabiyon kaa haasil thaa
vo ek lamha jo sadiyon ke pesh-o-pas mein rahaa
leaderi chaaho to lafz-e-qaum hai mehmaan-navaaz
gap-navison ko aur ahl-e-mez ko raazi karo
donon ke dil mein khauf thaa maidaan-e-jang mein
donon kaa khauf faasla thaa darmiyaan kaa
kisi ko saal-e-nau ki kyaa mubaarakbaad di jaae
calender ke badalne se muqaddar kab badaltaa hai
shaikh mujh ko na Daraa apni musalmaani thaam
ham faqiron kaa kisi rang se imaan na jaae
ab nahin koi baat khatre ki
ab sabhi ko sabhi se khatra hai
na koi dost na hamdam na aashnaa na habib
usi se khauf ziyaada jo hai ziyaada qarib