Shayari
masruf hain kuchh itne ki ham kaar-e-mohabbat
aaghaaz to kar lete hain jaari nahin rakhte
raat ko jab yaad aae teri khushbu-e-qabaa
tere qisse chheDte hain raat ki raani se ham
رات کو جب یاد آئے تیری خوشبوئے قبا
تیرے قصے چھیڑتے ہیں رات کی رانی سے ہم
रात को जब याद आए तेरी ख़ुशबू-ए-क़बा
तेरे क़िस्से छेड़ते हैं रात की रानी से हम

masruf hain kuchh itne ki ham kaar-e-mohabbat
aaghaaz to kar lete hain jaari nahin rakhte
ek mohabbat aur vo bhi naakaam mohabbat
lekin is se kaam chalaayaa jaa saktaa hai
main use dekh ke lauTaa huun to kyaa dekhtaa huun
shahr kaa shahr mujhe dekhne aayaa huaa hai
ghar pahunchtaa hai koi aur hamaare jaisaa
ham tire shahr se jaate hue mar jaate hain
faqat maal-o-zar-e-divaar-o-dar achchhaa nahin lagtaa
jahaan bachche nahin hote vo ghar achchhaa nahin lagtaa
chaand-chehre mujhe achchhe to bahut lagte hain
ishq main us se karungaa jise urdu aae
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ho gae din jinhein bhulaae hue
aaj kal hain vo yaad aae hue
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
kar kuchh aisaa ki tujhe yaad rakhun
bhuul jaane kaa taqaazaa hi sahi
na toDo dil ki hai kaaba kaa Dhaanaa
ye do ghar hain magar buniyaad hai ek
vahin pe TuTne lagtaa hai aitabaar-e-vafaa
jahaan yaqin zyaada dilaae jaate hain