Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
jhaaD kar gard-e-gham-e-hasti ko uD jaaungaa main
be-khabar aisi bhi ik parvaaz aati hai mujhe
جھاڑ کر گرد غم ہستی کو اڑ جاؤں گا میں
بے خبر ایسی بھی اک پرواز آتی ہے مجھے
झाड़ कर गर्द-ए-ग़म-ए-हस्ती को उड़ जाऊँगा मैं
बे-ख़बर ऐसी भी इक परवाज़ आती है मुझे

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
har saans hai ik naghma har naghma hai mastaana
kis darja dukhe dil kaa rangin hai afsaana
ye zoraa-zori ishq ki thi fitrat hi jis ne badal Daali
jaltaa huaa dil ho kar paani aansu ban jaanaa kyaa jaane
siine mein zabt-e-gham se chhaalaa ubhar rahaa hai
shoale ko band kar ke paani banaa rahe hain