Shayari
iid kaa din hai gale mil liije
ikhtilaafaat haTaa kar rakhiye
jo ye hindostaan nahin hotaa
to ye urdu zabaan nahin hoti
جو یہ ہندوستاں نہیں ہوتا
تو یہ اردو زباں نہیں ہوتی
जो ये हिन्दोस्ताँ नहीं होता
तो ये उर्दू ज़बाँ नहीं होती

khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
ham se koi taalluq-e-khaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahi bevafaa to hai
ye daur bhi kyaa daur hai is daur mein yaaro
sach bolne vaalon kaa hi anjaam buraa hai