Shayari
apne manzar se alag hotaa nahin hai koi rang
apni aankhon ke sivaa baad-e-bahaari aur kyaa
jaane kyaa surat-e-haalaat raqam thi us mein
jo varaq chaak huaa us ko dobaaraa dekhein
جانے کیا صورت حالات رقم تھی اس میں
جو ورق چاک ہوا اس کو دوبارا دیکھیں
जाने क्या सूरत-ए-हालात रक़म थी उस में
जो वरक़ चाक हुआ उस को दोबारा देखें

apne manzar se alag hotaa nahin hai koi rang
apni aankhon ke sivaa baad-e-bahaari aur kyaa
badan khud apni hi tajsim kar nahin paate
qarib aayaa to aankhon ko khvaab main ne diyaa
main apne zahr se vaaqif huun vo samajhtaa nahin
hai mere kisa-e-sad-kaam mein sharaafat bhi
vo mehrbaan nahin hai to phir khafaa hogaa
koi to raabta us ko bahaal rakhnaa hai
ye sach hai us se bichhaD kar mujhe zamaana huaa
magar vo lauTnaa chaahe to phir zamaana bhi kyaa
duur rahtaa hai magar jumbish-e-lab bos-o-kanaar
Dubtaa rahtaa hai dariyaa mein kinaaraa kyaa kyaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
jism-e-aazaadi mein phunki tu ne majburi ki ruuh
khair jo chaahaa kiyaa ab ye bataa ham kyaa karein
ijz-o-niyaaz apnaa apni taraf hai saaraa
is musht-e-khaak ko ham masjud jaante hain
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
vahaan hamaaraa koi muntazir nahin phir bhi
hamein na rok ki ghar jaanaa chaahte hain ham