Shayari
aazaadiyon ke shauq o havas ne hamein 'adil'
ik ajnabi zamin kaa qaidi banaa diyaa
teri khushbu ke saath aaj 'adil'
phir se lauT aai meri binaai
تیری خوشبو کے ساتھ آج عدیلؔ
پھر سے لوٹ آئی میری بینائی
तेरी ख़ुशबू के साथ आज 'अदील'
फिर से लौट आई मेरी बीनाई

aazaadiyon ke shauq o havas ne hamein 'adil'
ik ajnabi zamin kaa qaidi banaa diyaa
kahaan ke maahir-o-kaamil ho tum hunar mein 'adil'
tumhaare kaam to parvardigaar kartaa hai
miraa dil TuuT jaane par miyaan hairat bhalaa kaisi
agar rasta badal jaae sitaare TuuT jaate hain
tu mujh se duur chali jaae ain mumkin hai
magar vo aks jo meri nazar mein rahtaa hai
judaa jo ho gae tasbih-e-roz-o-shab se 'adil'
main zindagi mein vo daane piro nahin saktaa
de hausle ki daad ki ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe