Shayari
ye soch kar bhi to us se nibaah ho na sakaa
kisi se ho bhi sakaa hai miraa guzaara kahin
haal hamaaraa puchhne vaale
kyaa batlaaein sab achchhaa hai
حال ہمارا پوچھنے والے
کیا بتلائیں سب اچھا ہے
हाल हमारा पूछने वाले
क्या बतलाएँ सब अच्छा है

ye soch kar bhi to us se nibaah ho na sakaa
kisi se ho bhi sakaa hai miraa guzaara kahin
apne hi dam se charaaghaan hai vagarna 'aaftaab'
ik sitaara bhi miri viraan shaamon mein nahin
kyaa khabar mere hi siine mein paDi soti ho
bhaagtaa phirtaa huun jis rog-bhari raat se main
kin manzaron mein mujh ko mahaknaa thaa 'aaftaab'
kis regzaar par huun main aa kar khilaa huaa
kab tak saath nibhaataa aakhir
vo bhi duniyaa mein rahtaa hai
dil-e-muztar vafaa ke baab mein ye jald-baazi kyaa
zaraa ruk jaaein aur dekhein natija kyaa nikaltaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe