Shayari
kamaan-e-khaana-e-aflaak ke muqaabil bhi
main us se aur vo phir kaj-kulaah mujh se huaa
main chaahtaa huun mujhe mashalon ke saath jalaa
kushaada-tar hai agar khema-e-havaa tujh pe
میں چاہتا ہوں مجھے مشعلوں کے ساتھ جلا
کشادہ تر ہے اگر خیمۂ ہوا تجھ پہ
मैं चाहता हूँ मुझे मशअलों के साथ जला
कुशादा-तर है अगर ख़ेमा-ए-हवा तुझ पे

kamaan-e-khaana-e-aflaak ke muqaabil bhi
main us se aur vo phir kaj-kulaah mujh se huaa
kamaan-e-shaakh se gul kis hadaf ko jaate hain
nasheb-e-khaak mein jaa kar mujhe khayaal aayaa
is dil ko kisi dast-e-adaa-sanj mein rakhnaa
mumkin hai ye mizaan-e-kam-o-besh jalaa de
main dil ko us ki taghaaful-saraa se le aayaa
aur apne khaana-e-vahshat mein zer-e-daam rakhaa
use ajab thaa ghurur-e-shaguft-e-rukhsaari
bahaar-e-gul ko bahut be-hunar kahaa us ne
yahi bahut the mujhe naan o aab o shama o gul
safar-nazhaad thaa asbaab mukhtasar rakkhaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
mohabbat jurm hai to phir sazaa bhi ek jaisi ho
koi rusvaa koi mashhur ho aisaa nahin hotaa
ki hai koi hasin khataa har khataa ke saath
thoDaa saa pyaar bhi mujhe de do sazaa ke saath