Shayari
sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
chaaraagar ne bahr-e-taskin rakh diyaa hai dil pe haath
mehrbaan hai vo magar naa-aashnaa-e-zakhm hai
چارہ گر نے بہر تسکیں رکھ دیا ہے دل پہ ہاتھ
مہرباں ہے وہ مگر نا آشنائے زخم ہے
chārāgar ne bahr-e-taskīñ rakh diyā hai dil pe haath
mehrbāñ hai vo magar nā-āshnā-e-zaḳhm hai

sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
TuuTaa to huun magar abhi bikhraa nahin 'faraaz'
mere badan pe jaise shikaston kaa jaal ho
'faraaz' ishq ki duniyaa to khub-surat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakkhaa hai
judaaiyaan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar
kuchh aur duur zaraa saath chal ke dekhte hain
zindagi teri ataa thi so tire naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tiraa ehsaan jaanaan
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
muddaton baa'd agar saamne aae ham tum
dhundle dhundle se mileinge khad-o-khaal aise mein
chaukhaTaa dil kaa yahaan hai hu-ba-hu tujh saa koi
honT bhi aankhein bhi chhab Dhab bhi tujhi saa face bhi
baagh kaa dard usi phuul ke dil se puchho
muskuraataa huaa jo daur-e-khizaan se guzre
dil hai kis kaa jis mein armaan aap kaa rahtaa nahin
farq itnaa hai ki sab kahte hain main kahtaa nahin