Shayari
dil se dil nazron se nazron ke ulajhne kaa samaan
jaise sahraaon mein niind aai ho divaanon ko
ab is ke tasavvur se bhi jhukne lagin aankhein
nazraana diyaa hai jise main ne dil o jaan kaa
اب اس کے تصور سے بھی جھکنے لگیں آنکھیں
نذرانہ دیا ہے جسے میں نے دل و جاں کا
अब इस के तसव्वुर से भी झुकने लगीं आँखें
नज़राना दिया है जिसे मैं ने दिल ओ जाँ का

dil se dil nazron se nazron ke ulajhne kaa samaan
jaise sahraaon mein niind aai ho divaanon ko
mire habib miri muskuraahaTon pe na jaa
khudaa-gavaah mujhe aaj bhi tiraa gham hai
ab na kaaba ki tamannaa na kisi but ki havas
ab to zinda huun kisi markaz-e-insaan ke liye
dil ke sunsaan jaziron ki khabar laaegaa
dard pahlu se judaa ho ke kahaan jaaegaa
zindagi ke vo kisi moD pe gaahe gaahe
mil to jaate hain mulaaqaat kahaan hoti hai
kahin ye apni mohabbat ki intihaa to nahin
bahut dinon se tiri yaad bhi nahin aai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalti rahti hain qadrein rahil-e-vaqt ke saath
zamaana badlegaa har shai kaa naam badlegaa
dard-e-dil zindagi ki khushi pi gayaa
ik samundar hamaari nadi pi gayaa
ye chhaanv chhaanv na rovo 'zahir' dil ko sambhaalo
Dhali hai shaam magar yuun koi divaana huaa hai