Shayari
dil se dil nazron se nazron ke ulajhne kaa samaan
jaise sahraaon mein niind aai ho divaanon ko
mire habib miri muskuraahaTon pe na jaa
khudaa-gavaah mujhe aaj bhi tiraa gham hai
مرے حبیب مری مسکراہٹوں پہ نہ جا
خدا گواہ مجھے آج بھی ترا غم ہے
मिरे हबीब मिरी मुस्कुराहटों पे न जा
ख़ुदा-गवाह मुझे आज भी तिरा ग़म है

dil se dil nazron se nazron ke ulajhne kaa samaan
jaise sahraaon mein niind aai ho divaanon ko
ab na kaaba ki tamannaa na kisi but ki havas
ab to zinda huun kisi markaz-e-insaan ke liye
dil ke sunsaan jaziron ki khabar laaegaa
dard pahlu se judaa ho ke kahaan jaaegaa
zindagi ke vo kisi moD pe gaahe gaahe
mil to jaate hain mulaaqaat kahaan hoti hai
har ek baat ke yuun to diye javaab us ne
jo khaas baat thi har baar hans ke Taal gayaa
kahin ye apni mohabbat ki intihaa to nahin
bahut dinon se tiri yaad bhi nahin aai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
larazti chhat shikasta baam-o-dar se baat karni hai
mujhe tanhaai mein kuchh apne ghar se baat karni hai
ye alag baat ki alfaaz hain mere lekin
sach to bas ye hai ki teri hi sadaa hai mujh mein
yuun to ashkon se bhi hotaa hai alam kaa izhaar
haae vo gham jo tabassum se ayaan hotaa hai