Shayari
us se puchhe koi chaahat ke maze
jis ne chaahaa aur jo chaahaa gayaa
dil-e-pur-shauq ki qismat mein likhi hai naakaami
ye ik naazuk si shai kyon is tarah Thukraai jaati hai
دل پر شوق کی قسمت میں لکھی ہے ناکامی
یہ اک نازک سی شے کیوں اس طرح ٹھکرائی جاتی ہے
दिल-ए-पुर-शौक़ की क़िस्मत में लिखी है नाकामी
ये इक नाज़ुक सी शय क्यों इस तरह ठुकराई जाती है

us se puchhe koi chaahat ke maze
jis ne chaahaa aur jo chaahaa gayaa
samajhtaa huun main sab kuchh sirf samjhaanaa nahin aataa
taDaptaa huun magar auron ko taDpaanaa nahin aataa
ai soz-e-jaan-gudaaz abhi main javaan huun
ai dard-e-laa-ilaaj ye umr-e-shabaab hai
yaaron ke ikhlaas se pahle dil kaa mire ye haal na thaa
ab vo chaknaachur paDaa hai jis shishe mein baal na thaa
rang o bu mein Duube rahte the havaas
haae kyaa shai thi bahaar-e-aarzu
ragon mein dauDti hain bijliyaan lahu ke evaz
shabaab kahte hain jis chiiz ko qayaamat hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
alag alag taasirein in kii, ashkon ke jo dhaare hain
ishq mein Tapkein to hain moti, nafrat mein angaare hain
isi talaash mein pahunchaa huun ishq tak tere
ki is havaale se paa jaaun main davaam apnaa
main kisi aur hi aalam kaa makin huun pyaare
mere jangal ki tarah ghar bhi hai sunsaan miraa
ishq mein vo bhi ek vaqt hai jab
be-gunaahi gunaah hai pyaare