Shayari
tum kisi ke bhi ho nahin sakte
tum ko apnaa banaa ke dekh liyaa
ham bane the tabaah hone ko
aap kaa ishq to bahaana thaa
ہم بنے تھے تباہ ہونے کو
آپ کا عشق تو بہانہ تھا
हम बने थे तबाह होने को
आप का इश्क़ तो बहाना था

tum kisi ke bhi ho nahin sakte
tum ko apnaa banaa ke dekh liyaa
ham ko bachpan hi se ik shauq thaa barbaadi se
naam likh likh ke miTaate the zamin par apnaa
ham hain un se vo ghair se maayus
kyaa mohabbat kisi ko raas nahin
kyaa taajjub hai jo yaaron ne rifaaqat chhoDi
baiThtaa kaun hai girti hui divaar ke paas
dekhne vaale samajhte hain shanaasaa bhi nahin
aaj begaane nazar aate hain ham tum kitne
hamaare baa'd sunnaa dusron se
kahaani ye abhi puuri nahin hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
ghussa aataa hai pyaar aataa hai
ghair ke ghar se yaar aataa hai
ishq ki choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahi
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahi