Shayari
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
bahut saabit-qadam niklein gae vaqton ki tahzibein
ki ab un ke havaalon se khanDar aabaad hote hain
بہت ثابت قدم نکلیں گئے وقتوں کی تہذیبیں
کہ اب ان کے حوالوں سے کھنڈر آباد ہوتے ہیں
बहुत साबित-क़दम निकलें गए वक़्तों की तहज़ीबें
कि अब उन के हवालों से खंडर आबाद होते हैं

kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
kaisaa firaaq kaisi judaai kahaan kaa hijr
vo jaaegaa agar to khayaalon mein aaegaa
zabaan-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho
parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain
zamin ki god mein itnaa sukun thaa 'anjum'
ki jo gayaa vo safar ki thakaan bhuul gayaa
allaah ke ghar der hai andher nahin hai
tu yaas ke mausam mein bhi ummid kaa fan siikh
insaan ki niyyat kaa bharosa nahin koi
milte ho to is baat ko imkaan mein rakhnaa
isi khanDar mein mire khvaab ki gali bhi thi
gali mein peD bhi thaa peD par samar bhi thaa
ik khauf-e-dushmani jo taaaqub mein sab ke hai
ik harf-e-lutf jo kahin ghaaeb hai shahr mein
aasmaan aisaa bhi kyaa khatra thaa dil ki aag se
itni baarish ek shole ko bujhaane ke liye
ham aur chaah ghair ki allaah se Daro
milte hain tum se bhi to tumhaari khushi se ham
saaqi-e-gulfaam ne rakkhi to hai bhar kar sharaab
Dar hai uD jaae na shishe se pari ban kar sharaab
vo buton ne Daale hain vasvase ki dilon se khauf-e-khudaa gayaa
vo paDi hain roz qayaamatein ki khayaal-e-roz-e-jazaa gayaa