Shayari
kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
usi sharar ko jo ik ahd-e-yaas ne bakhshaa
kabhi diyaa kabhi jugnu kabhi sitaara karein
اسی شرر کو جو اک عہد یاس نے بخشا
کبھی دیا کبھی جگنو کبھی ستارہ کریں
उसी शरर को जो इक अहद-ए-यास ने बख़्शा
कभी दिया कभी जुगनू कभी सितारा करें

kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai
kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai
kaisaa firaaq kaisi judaai kahaan kaa hijr
vo jaaegaa agar to khayaalon mein aaegaa
zabaan-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho
parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain
zamin ki god mein itnaa sukun thaa 'anjum'
ki jo gayaa vo safar ki thakaan bhuul gayaa
allaah ke ghar der hai andher nahin hai
tu yaas ke mausam mein bhi ummid kaa fan siikh
insaan ki niyyat kaa bharosa nahin koi
milte ho to is baat ko imkaan mein rakhnaa
vo jism ruuh khalaa aasmaan hai kyaa hai
ki rang koi ho us se judaa nahin miltaa
kuchh aur din abhi is jaa qayaam karnaa thaa
yahaan charaagh vahaan par sitaara dharnaa thaa
taa-falak le gai betaabi-e-dil tab bole
hazrat-e-ishq ki pahlaa hai ye ziinaa apnaa
us shakhs ne kal haaton hi haaton mein falak par
sau baar chaDhaayaa mujhe sau baar utaaraa
hai saaya chaandni aur chaand mukhDaa
dupaTTaa aasmaan-e-aasmaan hai
aasmaan par jaa pahunchun
allaah teraa naam likhun